Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Mera hussain mujhe karbala bulayega

Zain Abbas · 2017

Karbala, karbala, karbala, karbala..(2)Ye aarzu hai ke ek baar jaau karbobalanahi hai zaad e safar dil tadap raha hai merakhabar nahi hai ke kismat mein kya likha hai huamagar khabar hai sakhi hai bohot mere maulaMujhe yaqeen hai ek roz aisa aayegamera hussain mujhe karbala bulayega..(2)1. To kya hua jo mayassar nahi hai zaad e safarkaram hussain sakhi ka jo hogaya mujhparmai ek lamhe mein pohchunga karbala ud karsimat ti jayegi mere safar ki raah guzarnaseeb mera naya raasta banayegamera hussain mujhe karbala bulayega2. Unhe pata hai mere dil ki aarzu kya haiwo jaante hai ke dil mera kyu tadapta haiunhi ke naam se dil ba khuda dhadakta haimere to khwaab o khayalo mein unka roza haiataa se unki hi tabeer khwaab paayegamera hussain mujhe karbala bulayega3. Karam se unke mai jab arz e karbala pohchakarunga khaak e shifa par mai shukr ka sajdamai pehle roza e abbas par hi jaungaye lab jo chumenge hashim ke chand ka rozasitara mere muqaddar ka jag magayegamera hussain mujhe karbala bulayega4. Ghume hussain mein farsh e azaa jo bichhta haidua har ek azadar ye hi karta haiye farsh karbobala mein mujhe bichana haiali ke laal ka nauha waha sunana haimera to dil ghume sarwar se phatt hi jayegamera hussain mujhe karbala bulayega5. Karunga pursa waha jis jagah gire ghazihai ab bhi baaki jaha'n aahein shahzadi kilagi thi akbar e mazloom ke jaha'n barchijaha'n pe kunbe ko ab tak hai fatima rotiwaha'n pe qalb mera ashk e khoo'n bahayegemera hussain mujhe karbala bulayega6. Habib ibn e mazahir ne khwaab mein dekhahussain ibn e ali aagaye hai karbobalato jaake zauja se apni habib ne ye kahabas aane wala hai khat mujhko shah e waala kaBin e sakhi hai wo ab dosti nibhayegamera hussain mujhe karbala bulayega7. Bulaye maula jo salman o zain karbobalato jaake maqtal e shabbir mein padhe nohana ek pal ko ruke nauha, matam o giryajanab e zehra ka de hum hussain ka pursahamara sabr wo hargiz na aazmayegamera hussain mujhe karbala bulayegaMujhe yaqeen hai ek roz aisa aayegamera hussain mujhe karbala bulayega..(2)Karbala, karbala, karbala, karbala..(2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.