Ya HussainQariya qariya aa gaya kucha kucha gayaHar jagah zikr e aal e mohammed kiyaMilgaya jis jagah mujhko farsh e azaApni pehchan karwayi hai iss tarhaNaam hai mera azadare HussainKaam mera maatam e Hussain haiKya fikr ho duniya ki mujhe kya ho bhala gham (2)Hai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parchamMera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)Maulai mujhe ye kehta hai saara zamanaTauqeer mujhe deta hai Zehra ka gharanaKehta hai mujhe zakir e shabeer e do alamHai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parchamMera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)Pehchaan meri saare zamane pe ayaan haiSine pe mere maatam e sarwar ka nishaan haiNauha hai hoton pe mere aur ankh meri namHai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parchamMera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)Agar chahun toh khud apni he taqdeer badal dunPairon ke tale saare yazeedon ko kuchal dunMaatam se mujhe rokle kisme hai bhala dumHai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parchamMera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)Har katra mere khoon ka deta hai gawahiHun lashkar e shabeer ka be tegh sipahiHun barsar e paikaar yazeedon se hum adamHai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parchamMera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)Imaan bhi maatam hai ye maatam he aqidaJeena ka hunar majlis e shabeer se sikhaYe baat mere hoton pe rehti hai hum adamHai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parchamMera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)Majlis he meri quld hai majlis he mera gharMaa baap bhi aulad bhi qurban isi parAhlan yehi tum bhi karo aur yehi ghamHai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parchamMera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)Ye nasl e yezidi jise kehti hai tamashaDar asl ye maatam hai usey muh pe tamachaFatwon ki fiza rokhna payegi ye maatamHai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parchamMera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)Woh dast e bala sham e ghareeban ka andheraKehti thi ye saidaniyon se Sani e ZehraHai bibiyon sad shukr ke laachar nahi humHai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parchamMera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)Karbal se sue shaam chali Aal e PayambarZainab se yehi kehne laga ye laasha e SarwarYe kehti chalo ay meri masooma e alamHai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parchamMera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)Shehzadi e Kaunain ki ye mujh par ata haiHaathon ki lakeeron may meri ye bhi likha haiTa hashr qalam chalta rahega mera paighamHai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parchamMera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)Allah ka mazhar ye sab se bada haiUsne hume maatam ke liye paida kiya haiFarhan yehi keh ke nighahon ko karo qamHai saaya bhi manzar pe alamdaar ka parchamMera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam (2)
Mera naam Hussaini hai mera kaam hai maatam
Farhan · 2006
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.