Azadari MediaAzadari Media

Mere Ammu Ko Tarai Se Bula De Koi

Arbaz Ali Bilgrami · 1448

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Bain Karti Hun Ro Ro Ke Ye Shah Ki DukhtarBain Karti Hun Ro Ro Ke Ye Shah Ki Dukhtar,Mere Ammu Ko Taraai Se Bula De Koi.Isse Pehle Ke Khatm Ho Meri Saanson Ka Safar,Mere Ammu Ko Taraai Se Bula De Koi.Koi Batlaye Sitamgar Ne Ye Kya Theek Kiya,Mujhko Isbaat Ki Khatir Hai Tamaacha Mara.Mere Haathon Se Utar Paaye Na Mere Gauhar,Mere Ammu Ko Taraai Se Bula De Koi.Gham Ke Is Jaal Se Aa Kar Ke Chhudayenge Wahi,Mujhko Zaalim Ke Tamaanchon Se Bachayenge Wahi.Haath Shafqat Ka Rakhenge Wahi Mere Sar Par,Mere Ammu Ko Taraai Se Bula De Koi.Jo Gala Choomte The Ahmad-e-Mukhtar Kabhi,Usi Gardan Pe Chalayega Abhi Shimr Chhuri.Dekho Khanjar Liye Baitha Hai Laeen Seene Par,Mere Ammu Ko Taraai Se Bula De Koi.Mujhse Chhootta Na Mere Baba Ka Seena Hargiz,Khaak Pe Soti Na Masoom Sakina Hargiz.Maare Jaate Na Chacha Jaan Agar Dariya Par,Mere Ammu Ko Taraai Se Bula De Koi.Hote Gar Saath Chacha Jaan To Hote Na Sitam,Qaid Hote Na Kisi Haal Mein Bhi Ahl-e-Haram.Chheene Jaate Na Mere Kaanon Se Mere Gauhar,Mere Ammu Ko Taraai Se Bula De Koi.Ye Tha Arbaaz-o-Shahnawaz Sakina Ka Bayaan,Jeete Ji Mujhse Na Mil Paayen Agar Mere Chacha.La Ke Turbat Pe Meri Rakhna Chacha Jaan Ka Sar,Mere Ammu Ko Taraai Se Bula De Koi

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.