Suno suno sunoMeri turbat Meri gurbat ka pataa deti Hai Abhi zinda'n se sakina ye sadaa deti HaiSuno suno suno1) aaj Tak baba ke seeney ko tarasti Hoon my Yaad karti Hoon unhey aur tadaptii Hoon my Raat hotii Hai to aahat se bhi dartii hoon my Aaj Tak shimr ke durro se laraztii Hoon myTum Jo aajaatey Hai pal bhar ko ghar lagtaa Hai warna zindaa se mujhey aaj bhi darr lagtaa HaiSuno suno sunoMerey baba ke Azadar Mera haal suno2) Meri gardan merey kaano se lahuu jaari Hai Saans leney mey abhi Tak mujhey dushwaari Hai Mustaliq shaam e gareeba se ye beydaari Hai Shimr ka qauf lahad mey bhi bohat taari HaiTum Jo aajaatey ho tab jaan mey Jaa'n aati Hai Aisa lagtaa Hai lahad par Meri maa aati HaiSuno suno sunoMerey baba ke Azadar Mera haal suno3) aabley paav ke chalney nahi detey they mujhey Qaar raaho ke sambhalney nahi detey they mujhey Zaqm pehlu ke badalney nahi detey they mujhey Dard halqey se nikalney nahi detey they mujheyGarm reytii pey bhi soney ki ijaazat na milii Baap ki yaad mey roney ki ijaazat na miliiSuno suno sunoMerey baba ke Azadar Mera haal suno4) jispey sotii thi wo seena huwa aisa chalni Jaisey zindaan mey Hai Mera kaleja chalni Qalb e akbar ko karey jis tarah naiza chalni Jaisey mashkeeza labb e nehr huwa Tha chalniChalni chalni mera Dil Mera jigar Hai ab TakJaari marqad mey bhi Zaqmo ka safar Hai ab TakMere baba ke azadar mera haal suno4) jispey sotii thi wo seena huwa aisa chalni Jaisey zindaan mey Hai Mera kaleja chalni Qalb e akbar ko karey jis tarah naiza chalni Jaisey mashkeeza labb e nehr huwa Tha chalniChalni chalni mera Dil Mera jigar Hai ab Tak Jaari marqad mey bhi Zaqmo ka safar Hai ab TakSuno suno sunoMerey baba ke Azadar Mera haal suno5) ek sitamgaar Ney maanga Tha kaneezi mey mujheyMujhpey phekey Gaye sadqey ke hazaaro qurmeySang barsaatey rahey mujhpey layee'n kotho seKhaaye ghum Ashq piye aur kahi tootey faaqeyMy Ney dukh jheley Hai darbaar ke baazaaro kePhir bhi thandey na kalejey huwey kuffaaro keSuno suno sunoMerey baba ke Azadar Mera haal suno6) dukh merey shaam e gareeba se chaley shaam talakDurrey khaaye Hai Jo paani ka liya naam talakMaut hamwaar thi aagaaz se anjaam talakSirf gundey hi nahi lutgaya aaraam talakPursa deney nahi sab log sataaney aayeQaid qaaney mey layee'n mujhko rulaaney aayeSuno suno sunoMerey baba ke Azadar Mera haal suno7) abr mey bhi Meri gardan ka Hai rassi ka nishaa'nQaid e tanhaayi Hai my Hoon ye andhera zindaa'nSab rihaa hogaye Hai qaid Meri aah o fugaaSunti hoon Hai yehi nazdeek phupii ka bhi makaa'nYe sitam wo hai ke gunjaayish faryaad nahiMe wo qaidi Hoon Meri qabr bhi aazaad nahiSuno suno sunoMerey baba ke Azadar Mera haal suno8) shaam jaana ho mayassar tumhey Rehan o RazaMarqad e baali Sakina se ye aati Hai sadaaKarbala jaao to leyjaana ye paigaam MeraYaad Karti Hai bohat tumko Sakina babaYe bhi kehna ke har Ek zaqm haraa Hai ab TakReesma khulgayi majrooh galaa Hai ab TakMere baba ke azadar mera haal suno
Mere Baba Ke Azadar Mera Haal Suno
Syed Raza Abbas Zaidi · 2013
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.