Ye kab mujhpar Karam hoga, merey Ghar par Alam hogaAli uspar raqam hoga (2) to Mera bhi bharam hoga1) ujaaley hongey merey Ghar mey ab chauda (14) charaago seFarishtey phool leykar aayengey Jannat ke baago seMera Ghar ab meri bastii (2) mey sab se mohtaram hoga2) Mujhey Jannat nazar aayega Mera aastaana bhiNajaf banjaayega ye ab malango ka thikaana bhiWohii Damm hoga jab maulaayiyo ke Damm mey damm hoga3) raheyga Mera Ghar naad e Ali ke ab hisaaro meyFizaa kaisey raheyga ye bahaaro ho bahaaro meyAli uskey nahi Maula (2) munaafiq ko ye ghum hoga4) my apney Ghar mey yu shaam e qalandar bhi manaaungaSaqi sardaar ki is tarah se naarey lagaaungaMazaa sehwan ka aayega (2) yehii rabb ki qasam hoga5) namaaz e ishq us Ghar mey padhoonga panjgaana bhiGadeer e qum ka goonjeyga merey Ghar mey taraana bhiHasan ka lehja hoga aur (2) zafar Tera Qalam hogah
Mere Ghar Par Alam Hoga
Mir Rehan Abbas · 2017
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.