Roz-e-Aashoor Akbar Ne Sheh Se KahaRoz-e-Aashoor Akbar Ne Sheh Se Kaha,Dijiye Mujhko Maqtal Ki Baba Raza.Sun Ke Apne Jawaan Laal Ki Iltija,Ro Ke Kehne Lage Shah-e-Karb-o-Bala,Haal-e-Dil Mera Samjho, Main Ik Baap Hun,Kaise Ran Ki Ijazat Ae Beta Main Dun.Kaise Ran Ki Ijazat Ae Beta Main Dun.Meri Aankhon Ka Taara Hai Tu,Jaan Se Mujhko Pyara Hai Tu.1Meri Ulfat Ke Aflaak Ka Tu Qamar,Meri Duniya Hai Tu, Mere Noor-e-Nazar.Baap Ki Is Zaeefi Ka Tu Hai Aasra,Bin Tere Zindagi Hogi Misl-e-Saza.Teri Furqat Ka Gham Dil Na Seh Paayega,Zinda Ho Kar Bhi Ye Baap Mar Jaayega.Meri Aankhon Ka Taara Hai Tu,Jaan Se Mujhko Pyara Hai Tu.2Itne Naazon Se Zainab Ne Pala Tujhe,Chhoo Na Paaya Koi Gham Ka Saaya Tujhe.Itna Apni Phuphi Pe Tum Ehsaan Karo,Is Tarah Khaak Uske Na Armaan Karo.Ye Hai Mujhko Pata, Tu Jo Ran Ko Gaya,Dekh Paunga Phir Main Na Chehra Tera.Meri Aankhon Ka Taara Hai Tu,Jaan Se Mujhko Pyara Hai Tu.3Ek Maa Ki Hai Umeed Tujh Se Judi,Teri Ulfat Hai Uske Liye Zindagi.Bin Tere Ek Pal Bhi Na Jee Paayegi,Tu Agar Mar Gaya, Wo Bhi Mar Jaayegi.Baat Sun Le Meri, Su-e-Maqtal Na Jaa,Muntazir Mere Beta Hai Teri Qaza.Meri Aankhon Ka Taara Hai Tu,Jaan Se Mujhko Pyara Hai Tu.4Dil Mein Sughra Ki Hai Aarzu Ye Basi,Jald Aaye Wo Din Aur Ho Shaadi Teri.Tere Haathon Mein Mehndi Rachayegi Wo,Apne Haathon Se Dulha Banayegi Wo.Uske Armaan Pe Tootenge Koh-e-Giraan,Jis Ghadi Lega Tu Maut Ki Hichkiyan.Meri Aankhon Ka Taara Hai Tu,Jaan Se Mujhko Pyara Hai Tu.5Mere Ahwaal-e-Dil Ki Tujhe Kya Khabar,Kis Museebat Mein Hun, Mere Noor-e-Nazar.Zindagi Dhayegi Mujh Pe Ab Jo Ghazab,Teri Furqat Banegi Ae Beta Sabab.Hausla Waqt-e-Rukhsat Yun Dena Mujhe,Dekhte Jaana Mud Mud Ke Beta Mujhe.Meri Aankhon Ka Taara Hai Tu,Jaan Se Mujhko Pyara Hai Tu.6Sun Ke Sarwar Ki Baaton Ko Kehne Laga,Wo Shabeeh-e-Nabi, Yusuf-e-Karbala.Aapke Haal-e-Dil Se Hun Main Ba-Khabar,Meri Furqat Ka Gham Kaat Dega Jigar.Hai Pata Mujhko, Ik Baap Mar Jaayega,Uska Kadiyal Jawaan Jo Guzar Jaayega.Aapka Shahzada Hun Main,Aapko Jaan Se Pyara Hun Main.7Baba Maghmoom Hun Main Bhi Is Baat Se,Aapka Haath Chhoot Jaayega Haath Se.Gher Legi Jo Maqtal Mein Aafat Mujhe,Phir Na Hogi Mayassar Ye Ulfat Mujhe.Mujhko Maaloom Hai, Phir Na Main Aaunga,Su-e-Maqtal Agar Main Chala Jaunga.Aapka Shahzada Hun Main,Aapko Jaan Se Pyara Hun Main.8Keh Ke Akbar Chale, Baba Jaan Alwida,Aakhri Hai Mera Imtehaan, Alwida.Ja Raha Hun Ae Baba, Dua Dijiye,Meri Furqat Ka Gham Ab Utha Lijiye.Ae Faraz Aur Asghar, Falak Ro Pada,Waqt-e-Rukhsat Jo Akbar Ne Sheh Se Kaha,Aapka Shahzada Hun Main,Aapko Jaan Se Pyara Hun Main.
Meri Ankhon Ka Tara
Syed Faraz Mehdi · Poet: Asghar Jaunpuri · 1448
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.