Momino matam karo sab Haidar-e-karrar kaSar do paara hogaya hai, khalq ke sardar ka1. Rang chehre ka udaa, lab kaampte hai baar baarTeen din se dard ka aalam hai dil hai be qararZakhm khaakar zehr mein, doobi hui talwaar kaSar do paara..2. Faatahe badro ohad par zulm ye kaisa huwaJinke qadmon ki dhamak se baab-e khaybar kaamp uthaUth nahi sakte sahara leke bhi deewar kaSar do paara...3. Dekh kar haal-e ali ek pal nahi zahra ko chainQabr-e payghambar pe aakar Sayyada karti hai baynGham se tharra tha hai roza ahmad-e mukhtar kaSar do paara....4. GHash mein hai kulsoom zainab ke nahi rukte hai baynPeet te hai sar hassan, betaab hai mola hussainAagaya lamha ali ke aakhri deedaar kaSar do paara...5. Royi zainab dekh kar baba ka sar jab khoo(n) mein tarRodiye shere khuda zainab ke baazu chum karAagaya manzar nazar mein shaam ke bazaar kaSar do paara...6. Tees dil mein uthti hai aankho(n) se aansoo hai rawa(n)Yaad hai haider ko zehra ki shikasta pasliyaa(n)Gham nahi bhule hassan shere khuda darbar kaSar do paara...
Momino matam karo sab
Imran Datoo · 2018
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.