Moula Moula Moula..2Ali ne dekha pesar ko to noore ain kahaSakhi Hussain ko Zahra ne dill ka chain kahaAmal Hussain ka dekha to phir Mohammad neHussaino Minni wa aana menal Hussain kahaHussain hai hussain hai….•Shaahe madeena ki aamad hai zarra zarra bolega...•Qatra qatra khoon ka mere moula moula bolega...1)Dar pe Ali ke aake farishte parhne lage aamad ka qaseedaNoor ki barish hone lagi hai or huwa gulzaar madeenaPhool khila Zahra ke chaman me patta patta bolega•Shaahe madeena ki aamad hai zarra zarra bolega...•Qatra qatra khoon ka mere moula moula bolega...2)Shaad huwi hai aaj nabuwat shaad huwi hai aaj imamatZulm ke baani dekhle aaker Sabre ke Hakim ki hai wiladatMidhate sheh me qoum ka mere bachcha bachcha bolega•Shaahe madeena ki aamad hai zarra zarra bolega...•Qatra qatra khoon ka mere moula moula bolega...3)Maagne waale aaye Hain darpar dekhegi dunya sheh ki sakhatFatema Zahra ka hai pesar ye karta rahega sab pe inayatUdta huwa fitrus bhi Hawa per aaqa aaqa bolega•Shaahe madeena ki aamad hai zarra zarra bolega...•Qatra qatra khoon ka mere moula moula bolega...4)Bol musalmaa mohre nabuwat kiske qadam ko Chum rahi haiKiski mili hai garde qadam Jo bade Saba yun jhoom rahi haiShahre madeena ki galiyo'n ka gosha gosha bolega•Shaahe madeena ki aamad hai zarra zarra bolega...•Qatra qatra khoon ka mere moula moula bolega...5)Zehn hussainy fikr hussainy dill bhi hussainy rakhte haiDeen ke dushman per ham laanat karte the or karte HainJashn manayenge sarwar ka lahja lahja bolega•Shaahe madeena ki aamad hai zarra zarra bolega...•Qatra qatra khoon ka mere moula moula bolega...6)Karbobala wale Hain ham pokhta hai Mera imano aqeedaMadha ma AZHAR likkhega or parhta rahega kaif qaseedaNikla huwa har paak zabaan se nara naara bolega•Shaahe madeena ki aamad hai zarra zarra bolega...•Qatra qatra khoon ka mere moula moula bolega...Har bashar ke labper ..Hussain haiWo sabr ka paikar ...Hussain haiIslaam ka rahbar ..Hussain haiHar dill me dharhakta .Hussain haiTaro'n sa chamakta .Hussain haiPhoolo'n me mahakta Hussain haiSarkare zamana .Hussain haiMomin ka tarana ..Hussain haiDoulat ka khazana Hussain haiWo zaate waqaari .Hussain haiAhamad ki sawari .Hussain haiQouraan ka qaari ..Hussain haiShohrat ka bhi Malik..Hussain haiIzzat ka bhi Malik.. Hussain haiZeenat ka bhi Malik Hussain haiAzmat ka bhi Malik Hussain haiRahmat ka bhi Malik Hussain haiBarkat ka bhi Malik Hussain haiDoulat ka bhi Malik Hussain haiShiyat ka bhi Malik : Hussain haiKis tarh yazeedi jayen'geJannat ka bhi Malik Hussain hai
Moula Moula Boley Ga
Kaif Minhaz Ali Patel · 2022
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.