Bhaiyya sajjad..(5)Ye meri aakhri shab hai,sakina ne kaha bhaiyyamujhe baba ka sar laa do1. Sakhi ke laal ho ye akhri khwahish na radd karnatumhare ghar ka shewa hai gharibo ki madad karnasawali hai jale daman, ko phelaye hue dukhiyamujhe baba ka sar laa do2. Padar ke baad beti ka tamacho par guzara haibataungi unhe shimr e laee'n ne kaise maara haizara nazdeek se aakar wo mera dekhle chehramujhe baba ka sar laa do3. Ajab halat mein dekha tha sare darbaar baba konahi paani mayassar qaid khane mein sakina komai apne aasuo'n se dhoungi mazloom ka chehramujhe baba ka sar laa do4. Mai roi jab padar ko shimr ne badla liya tumseqasam hai mujhko baba ki mera waada raha tumsesakina ab na roegi na ab khaoge tum durramujhe baba ka sar laa do5. Zuba'n hai khushk itni baat karna mujhpe bhari haitumhe maloom hai bhai sakina kab se pyaasi haimagar karti nahi dukhiya taqaza tumse paani kamujhe baba ka sar laa do6. Padar ka dekh kar chehra sadaa bedaar hoti thishab e ashoor tak unki ziyarat karke soti thizara dekho in aankho'n ne unhe kab se nahi dekhamujhe baba ka sar laa do7. Paresha'n ho agar koi tasalli dete jaate haisuna hai marte dum apno se milne ko wo aate haihai mujhpe nazr ka alam chali mai chod kar duniyamujhe baba ka sar laa do8. Takallum sar jab aaya qaid khane mein qayamat thiadhuri reh gayi baatein hui khamosh shehzadifeza mein gunjta hai shadma'n ab tak yehi nauhamujhe baba ka sar laa do
Mujhe baba ka sar laado
Shadman Raza · 2017
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.