Mujhe Sab Yaad Hai DadiYe Ghaibat Mein Mera Maula Sada Deta Hai Ro Ro KarMujhe Sab Yaad Hai DadiMere Baba Ki Gardan Thi, Laeen Ka Kund Tha KhanjarMujhe Sab Yaad Hai DadiWo Jis Chhe Maah Ke Bachche Ne Ran Mein Teer Khaya ThaPas-E-Khaima Jise Shabbir Ne Ja Kar Chhupaya ThaLaeen Ne Dasht Mein Dhoonda Tha Kaise Laasha-E-AsgharMujhe Sab Yaad Hai DadiZamana Jis Ko Kehta Tha Shabeeh-E-Ahmad-E-MursalUssi Mazloom Par Dhaya Gaya Mahshar Sar-E-MaqtalSitamgar Ne Kiya Naize Se Chhalni Seena-E-AkbarMujhe Sab Yaad Hai DadiSamaan-E-Ashoor Ka Dadi Meri Nazron Mein Rehta HaiUssi Gham Mein Meri Aankhon Se Ab Bhi Khoon Behta HaiHaram Ke Jal Gaye Khaime, Phuphi Ki Chhin Gayi ChadarMujhe Sab Yaad Hai DadiTamaanche Maarta Tha Jab Laeen Bachi Ke Gaalon ParBulati Thi Wo Amu Jaan Ko Dariya Se Ro Ro KarSada Ye Sun Ke Dariya Par Tadapta Tha Chacha Ka SarMujhe Sab Yaad Hai DadiSar-E-Aun O Muhammad Jab Nazar Aaye The Naize ParZara Royi Na Madar Apne Bachchon Ke Bichharne ParAli Akbar Ko Roti Thi Musalsal Zainab-E-MuztarMujhe Sab Yaad Hai DadiSitam Ye Bhi Hua Maqtal Mein Jo Ek Shab Ka Dulha ThaUssi Ki Laash Ko Maidan Mein Ronda Tha, WawaylaSimat Ke Kis Tarah Ghatri Mein Aaya Qasim-E-ShabbarMujhe Sab Yaad Hai DadiMeri Nazron Mein Ab Tak Phirta Hai Bazaar Ka ManzarNabi Ki Aal Thi Ummat Ke Haathon Zulm Ki Zad ParKahin Maare Gaye Durre, Kahin Maare Gaye PattharMujhe Sab Yaad Hai DadiMere Baba Ka Kis Ne Kund Khanjar Se Gala KaataPada Tha Dasht Mein Jis Waqt Be-Gor O Kafan LaashaWahan Kis Kis Ne Mitti Aan Ke Daali Thi Zakhmon ParMujhe Sab Yaad Hai DadiJary Kehne Lage Mehdi Ke Main Jab Izn PaaungaHussain Ibn-E-Ali Ke Qaatilon Par Qahr DhaaungaKoi Qaatil Meri Talwar Se Jaayega Na Bach KarMujhe Sab Yaad Hai Dadi
Mujhe Sab Yaad Hai Dadi
Irtaza Jaffri · Poet: Jary Raza · 2026
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.