Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Mujhko tanha

Abbas Bandali · 2006

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Baba jaan haae Baba jaan, Baba jaan haae Baba jaan[Mujhko tanha na kabhi chodke jaana Baba] ×3(Mujhko mehmil me bhale) - 2tum na bithaana Baba[Mujhko tanha na kabhi chorke jaana Baba] ×21. Gar khataa mujhse huwi hai to khataa maaf karo[Maardaale na mujhe] ×2 aapka jaana Baba2. Dekh tayyaar Sakina (s.a) hai Ali Akber (A.S.) bhi[Hun agar ghair to tum] ×2 itna bataana Baba3. Tum se shikwa na karungi apni bimaari ka[khud hi le lungi dawa] ×2 tum na pilaana Baba4. Saath Asgher (A.S.) ko liye jaane ka maqsad kya hai[Apni bimaar se tum] ×2 ye na chupaana Baba5. Baba pardes mein Akber (A.S.) ki karo jab shaadi(Us ghari Sughra (A.S.) ko tum) x2 bhool na jaana Baba6. Phir agar mil na saki itni guzaarish hai meri[Meri turbat pe diya] ×2 aake jalana Baba7. Kaarwaan jab ye chala karbobala ay 'Yaawar'(Sughra (A.S.) kehti thi yehi) x2 lot ke Aana Baba

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.