Ek mufti muje dosto kal raat mila thamehdi ka mukhalif tha ye chehre pe likha thaImaan pe mere zarb lagane pe tula thamai uske irade pe bohot dil me hasa thaKehta tha ye ghaybat muje afsana lage haiMaine kaha tu bhi muje deewana lage haiHar chiz nazar aaye zaruri nahi muftiHoore bhi nahi dekhi hai imaan hai phir bhiAshabe kahf per bhi tuje shak nahi koiPhir kyu na zahanat bhi hase aql pe teriTu jisko gumaan maan raha hai wo yaqeen haiShaytan ka qael to hai Mehdi ka nahi haiYe Sunke hi marne laga wo bugz ka maarabaaz aaya nahi fir bhi wo shaytan ka pyaraEk baar kiya fir use zillat ne isharaAur haath rakhe dil pe wo chillaya bicharaIs waqt bata mujko tera mehdi kaha haiMaine kaha Allah jaha hai wo waha haiYe sunke wo kehne laga tauba ha re taubaMehdi ko tu Allah ke jaisa hai samajtaMaine kaha Padh likh ke bhi jaahil hai tu betaKya khaak teri aql ne Allah ko jaanaGar uska wali Haaziro naaziro nahi hogaAllah ke hone ka pata kaise chalega
Munazera
Shahid Baltistani · 2012
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.