Nabi Ki Qabr Pe Aakar, Kaha Zahra (sa) Ne Ro Ro Kar,Musalmaan Hans Rahe TheNabi Ki Qabr Pe Aakar, Kaha Zahra (sa) Ne Ro Ro Kar,Musalmaan Hans Rahe TheBhare Darbaar Mein Baba, Khadi Thi Aapki Dukhtar,Musalmaan Hans Rahe TheMila Yeh Ajr Humko, Ahl-e-Yasrab Se Risalat KaHame Aap Ke Gham Mein, Kahan Rone Diya BabaBana Jab Ghar Mere, Rone Ki Khatir Sheher Se Baahar,Musalmaan Hans Rahe TheNahi Yeh Gham Mujhe Ke Bagh-e-Fidak Maine Nahi PaayaAy Baba Bas Mujhe Is Baat Pe Rona Bohat AayaGawahi Mere Betoñ Ki, Saare Darbaar Jhoot Laa Kar,Musalmaan Hans Rahe TheYeh Sadma Hai Ke Mere Haq Mein Kisi Ne Lab Nahi KholaMadine Mein Meri Janib Se Koi Bhi Nahi BolaWilayat Ke Liye Paighaam, Main Phirti Rahi Dar Dar,Musalmaan Hans Rahe TheJahaan Khayyat Bankar Khuld Se Rizwaan Aate TheMalak Bhi Aake Jis Dar Pe Adab Se Sar Jhukaate TheUssi Dar Ko Laga Kar Aag, Jab Maari Gayi Thokar,Musalmaan Hans Rahe TheGhadeer-e-Khum Mein Jisko Aapne ‘Maula’ Kaha BabaWoh Jisne Aapse Waada Kiya Tha Sabr Karne KaNahi Bhooli Main Woh Manzar, Huye The Qaid Jab Haider,Musalmaan Hans Rahe TheHassan Ke Saamne Baba, Laaeñ Ne Zulm Yeh DhayaMere Bache Ne Mujh Par Yeh Sitaam Hote Hue DekhaMain Roti Reh Gayi Baba, Tamacha Jab Laga Rukh Par,Musalmaan Hans Rahe TheSurani Aathwi Shawwal Ko Kaise Bhulaayeñ HumKiya Tha Munhadim Yun Rauza-e-Makhdooma-e-AalamNishaani Ke Liye Jab Qabr Pe Bas Reh Gaye Patthar,Musalmaan Hans Rahe The(Ali Raza Surani)
Musalman Hans Rahe Thay
Shabih Abbas Arfi · Poet: Ali Raza Surani
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.