Ek Sada Deti Thi Zainab Ek Sada Dete The AbbasNa Chor Ke Jao Baba Na Chod Ke Jao Baba1) Amma Toh Bht Pehle Hme Chod Gyi ThiUs Waqt Musibat Ye Badi Hum Padi ThiBaba Tumhe Maloom Hai Wo Kaisi Ghadi ThiDushwar Tha Jeena Baba Na Chod Ke Jao Baba2) Ab Baap Ka Saya Kahi Uth Jaye Na Sar SeMasoom Se Bacho Ka Sahara Hai Pidar SeYe Sach Hai Ke Har Ghar Me Ujala Hai Pidar SeHo Jayenga Phir Ghar Soona Na Chod Ke Jao Baba3) Tum Jate Ho Ab Ghar Me Wo Ronak Na RahengiKulsoom Bhi Ab Dard Baya Kisse KarengiAmma Ki Tarha Chod Hume Jate Ho Tum BhiKis Kaam Ka Hai Ab Jeena Na Chod Ke Jao Baba4) Na Mane Musalman Ye Amma Ko SatakarJane Kya Mila Baba Tumhe Zarb LagakarKis Tarh Musibat Me Ghire Hain Yaha Aa KarRaas Aaya Na Humko Koofa No Chod Ke Jao Baba5) Ye Dekh Ke Roti Rahin Shahzadiye KonainKhamosh Hai Lab Or Nhi Dil Ko Khi ChainRote Hue Baba Se Yahi Kahte Hai HasnainHo Aap Hi Meri Duniya Na Chod Ke Jao Baba6) Naraz Ho Baba Kya Hume Kuch Toh BataoApne Dile Muztar Ka Bayan Kuch Toh SunaoIs Tarha Se Tanha Na Hume Chod Ke JaoPadhte Hai Ye Sarwar Noha Na Chod Kar Jao Baba7) Rooti Hai Zamee'n Aur Udasi Hai Falak ParKis Tarha Bayan Hoga Aman Humse Ye ManzarHasnain Se Ramza,N Me Juda Hote Hain HaiderTha Sabke Labo Pe Nouha Na Chod Ke Jao Baba
NA CHOR KE JAO BABA
Haider Ali Hasnain Rizvi · 2024
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.