Azadari MediaAzadari MediaGet the app

na ghabraaye hussain

Shadman Raza · 2012

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
de diya har imtehaanbeh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussainna ghabraaye hussainapne hi haathon pe apni laash le aaye hussainbeh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussainsina e akbar me bartchi dekh ke royi qazaafatema ke laal par ye imtehaan ka waqt thaboli zainab haay hussainna ghabraaye hussainbeh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussainek ke baad ek laasha dasht se laate rahegod ke paalon ka dil par zakhm bhi khaate rahekitne laashe laaye hussainna ghabraaye hussainbeh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussainqabr asghar ki bana kar aaya ibne buturaabmaut boli teri daulat dekh ay umme rababdasht me tchhor aaye hussainna ghabraaye hussainbeh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussainqatl ghaazi ho gaya jab ho tchuke baazu qalamburhe kaando par utha kar khun me duba alamdasht se jab laaye hussainna ghabraaye hussainbeh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussainkat tchuki jab fauj saari dil tha gham se paayemaaltin din ke bhukhe pyaase aur zakhmon se nidhaaljang larne aaye hussainna ghabraaye hussainbeh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussainek taraf zehra ka beta ek taraf nau laakh teghwo chamakte teer o neze sab the pyaase khun kezulm se takraaye hussainna ghabraaye hussainbeh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussaintchur the zakhmo se maula teer aur talwaar keaakhri sajde ki khaatir pusht se rah haar kejab zamin par aaye hussainna ghabraaye hussainbeh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussainshaah ki mazlumiyat par hogayi zehra gavaahjhaarti thi apne baalon se pisar ki qatl gaahmaan pukaari haaye hussainna ghabraaye hussainbeh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussainlikho mazhar aabedi jab ho tchuke sab imtehaanshukr ka sajda kiya tha sheh ne ho kar shadmanqatl hone aaye hussainna ghabraaye hussainbeh gaya saara lahu lekin na ghabraaye hussain

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.