Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Nabi ki nawasi rida maangti hai

Farhan · 2018

Haye sadaat, haye sadaat..(2)Risalat ka logo sila maangti hainabi ki nawasi rida mangti hai1. Ye ismat ki malka, ye bint e ali haijo pattharo ki barish mein kabse khadi haifaqad do qadam raasta maangti hainabi ki nawasi rida mangti hai2. Zibha hogaye iske be misl bhairasan mein kaha'n se kaha'n tak hai aayiye tumse ba-naame khuda maangti hainabi ki nawasi rida mangti hai3. Karo nau charagho se roshan ye raaheinkhudara jhuka lo ye apni nigaaheinbhala kya ye iske siwa maangti hainabi ki nawasi rida mangti hai4. Nabi zaadiyo ko satate ho kyu tuminhe naam lekar bulate ho kyu tumye marne ki apne dua maangti hainabi ki nawasi rida mangti hai5. The farhan o qurbaan bibi ke jumlemujhe mera bhai khule sar na dekhaye kehke laee'n se rida maangti hainabi ki nawasi rida mangti hai

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.