Nikla hai janaza koi Allah ke ghar se..(2)Aflaak mein ek shor hai matam ke asar seNikla hai janaza koi Allah ke ghar se1. Afsos ke masjid mein namazi gaya maara..(2)kuch kam nahi ye hashr qayamat ke asar seNikla hai janaza koi Allah ke ghar se2. Shabbir ko yaad aagayi khud apni sakina..(2)zainab ko hataya gaya jab laash e padar seNikla hai janaza koi Allah ke ghar se3. Abbas zara zainab e muztar se khabardaar..(2)fariyad mein hatt jaye na chadar kahi'n sar seNikla hai janaza koi Allah ke ghar se4. Yaad aagaya zainab ko wo pehlu e shikasta..(2)rumaal hataya gaya baba ke jo sar seNikla hai janaza koi Allah ke ghar se5. Haa bhool na jana inhe kufe ke makino..(2)guzrenge ye shahzadiya'n is raahguzar seNikla hai janaza koi Allah ke ghar se6. Zainab se ye kehdo ke wo dil khol ke roye..(2)shabbir ki hamsheer hai rone ko na tarseNikla hai janaza koi Allah ke ghar se
Nikla hai janaza koi Allah ke ghar se
Mir Hasan Mir · 2017
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.