Azadari MediaAzadari Media

Nojawan Akbar

Turab Ali Chaudhary · Poet: Asmee Kanodari · 2026

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Sina jo seena e Akbar me aake toot gayiJawaan laal ko sheh dhoondhne nikalte hain..Dikhai kuch nahi deta Husain ko run me..Kabhi wo girte hain gir kar kabhi wo uthtey hain..Geera hai kha ke SinaN Run me NaujawaN akbarHussain Dhundh Rahe hai YahaN WahaN Akbar..Tumhare baap ko has has ke dekhte hain shaqi Jigar me maar ke do(2) tere barchiyaN Akbar..Hussain dekh ke bete ka pehlu kehte the..Hain yaad aa gayi amma ki PasliyaN Akbar..Najaf se maine bulaya hai dada Haider ko Abhi na hona tu be-jaan meri jaaN Akbar..Shaqi ne seene me ye keh ke barchi todi hai Hussain kaise nikalenge ye sinaN Akbar..Zaeef baba hai Sabir ye sabr kar lega.. Dikhawo sine me tooti huwi seenaN Akbar..Hamare zaanu pe tum todte ho dum beta..Duaein jeene ki karti hai Teri maaN Akbar..Jawan lal ko dulha banane wali thi..Qaza ne chhin liya uska ye jawaN Akbar..Zameen e garm pe Laila giri hain ghash khake Chada jo katt ke Tera sar sar e sinaN AkbarHai jaese zahra ne pala mujhe tumhe waise Chala ke pala hai Zainab ne chakkiyaN Akbar..Hussain kar na sake kuch "Turab aur Asmee"Ragad ke mar Gaya maqtal me EdiyaN Akbar..

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.