Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Pareshan Na Ho Hussain

Rizwan Rizvi · 2020

maaN aa gayii hai ran meN pareshaaN na ho hussainseeney se nau jawaaN ke sinaaN kheNch lo hussainab edhiyaaN ragharhtaa hai zainab kaa ladlaaakbar ke paas waqt ziyaadaa nahiiN rahaaKhaamosh kyoN ho beTey se baateiN karo hussainlarzey na haath seeney se barchii nikaal liiro ro ke de raheN haiN duaaeN tumheN nabiikyaa kaam tumme kar diyaa jeetey raho hussainkyaa tum pe ran meN guzrii hai, zainab ko kyaa khabargabhraa na jaaye khooN bharey haathoN ko dekh karchaadar se merii khoon e pisar poNch lo hussaindaaRhii safaid ho gayii kyaa haal ho gayaamaaN sadqe jaaye sabr karo mere dilrubaaqabr e nabii laraztii hai aise na ro hussainmaiyyat jawaaN ki aur ye TooTii huyii kamarkaise karoge khaima e zainab talak safarmeiN haath thaam letii hooN ran se chalo hussainye imtehaaN akeley tumhaaraa hai maaN nisaardariyaa pe uski laash taRhapti hai baar baarab mere baawafaa ko sadaaeN na do hussainkyaa kyaa sitam uThaa ke gayii hai tumhaari maaNTooTii huyii haiN aaj bhii ammaaN ki pasliyaaNtum faatemaah ke beTey ho himmat karo hussainlagtaa thaa rooh e zehraa takallum ye kehtii thiikhaimey se aa na jaaye kahiiN merii laadliimaiyyat uThaao yaa Ali keh kar uTho hussain

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.