Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Pata hai kis tarha beta jawaan hota hai

Meesum Abbas · 2017

Pata hai kis tarha beta jawaan hota haitadap ke laasha e akbar pa boley sibte nabihamare noor e nazar ko lagi nazar kiskisitam ghareeb musafir pa ye mazeed kiyabatao kisne mere sher ko shaheed kiyasina kaleje pe akbar ke maarne waale..(2)pata hai kis tarha beta jawaan hota haisina kaleje pe akbar ke maarne waalepata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)1. Bade hi naaz se paala hai ye jawaan pisarye mere ghar ka ujala, ye mera noor e nazarye mera hasliyo'n wala reyazato'n ka samar..(2)lahu mein dooba hua aidiya'n ragadta haisina kaleje pe akbar ke maarne waalepata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)2. Ye meri god mein qur'a ki tarha rehta thaye noor banke meri aankh mein chamakta thaye saaya banke mere saath saath chalta tha..(2)meri sada pe na koi jawaab deta haisina kaleje pe akbar ke maarne waalepata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)3. Ali ki betiya'n jhula ise jhulati thihijab e noor mein lori ise sunati thijanab e umme banee iske naaz uthati thi..(2)aur ab hussain yaha'n iski laash uthata haisina kaleje pe akbar ke maarne waalepata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)4. Jo bachpane mein pakadke ye mera haath chalato haath uthake ise di thi zindagi ki duakhabar na thi ke mujhe ye bhi dekhna hoga..(2)ke aaj haatho'n pe akbar tera janaza haisina kaleje pe akbar ke maarne waalepata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)5. Batao tum mein koi ho jo sahib e auladjawaan laal ho jismein hai wohi ghar aabadsitamgaro ne kiya haaye mera ghar barbaad..(2)hawaye zulm se ghar ka charagh bujhta haisina kaleje pe akbar ke maarne waalepata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)6. Hamare seene se nikla hai dil lahu rotaaur apne khaime se nikli hai zainabe kubranajaf se nikle ali aur madine se nana..(2)jab iske seene se barchi ka phal nikaala haisina kaleje pe akbar ke maarne waalepata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)7. Salam e akhri mujhko kiya tha jab isnena pooch humse ke aaye yaha'n pa hum kaisekabhi uthe kabhi maqtal ki khaak par hai gire..(2)zaeef baap se ye ghum kaha'n se uthta haisina kaleje pe akbar ke maarne waalepata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)8. Hua hai nauha jo meesum teri zaba'n se adaaye joshe girya o matam bata raha hai razake nauha sunne yaha'n aagaye mere maula..(2)har ek zabaan pe akbar tera hi nauha haisina kaleje pe akbar ke maarne waalepata hai kis tarha beta jawaan hota hai..(2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.