Baba, BabaBin Sahaare Ke Main Uth Nahi Paati HoonJab Se Darwaza GiraBaba, Pehle Jaisi Nahi Rahi Zahra Pasliyan Dukhti Hain Baithne Uthne ParDard Hota Hai BadaBaba, Pehle Jaisi Nahi Rahi Zahra Jab Se Darbaar Se Lauti Hai Ye Beti BanaAa Gayi Baalon Mein Zahra Ke Safedi BabaJhuk Gayi Meri Kamar, Ho Gaya Haal MeraEk Zaifa JaisaGhat Gayi Jism Ki Quwwat Bhi Lahu Behne SeSaans Ukhadti Hai Zara Der Khade Rehne SeAb Namazein Bhi Main Baith Kar Padhti HoonJab Se Pahlu TootaBaithi Hoon To Utha Bhi Nahi Jaata BabaApni Gurbat Pe Bohot Aata Hai Mujhko RonaJab Uthati Hai Mujhe Meri Beti ZainabThaam Kar Haath MeraMeri Haalat Pe Lahu Aankhon Se BarsaogeKya Sitam Mujhpe Hua, Khud Hi Samajh JaogeMain Hatati Hoon Rida, Dekh Lo Ek DafaAap Mera ChehraDekho Kya Zulm Kiya Mujhpe Sitamgaron NeDekho Kitna Mujhe Maara Hai Jafakaron NeKitni Zakhmi Hoon Main, Mera Rukhsara Hai Dekho Kitna NeelaBaba, Pehle Jaisi Nahi Rahi ZahraItni Quwwat Se Sitamgar Ne Tamaacha MaaraBaba, Deewar Se Takra Ke Giri Hai ZahraAa Gayi Us Din Se Meri Nazron Mein KamiDikh Raha Hai DhundhlaBaba, Pehle Jaisi Nahi Rahi ZahraBolti Hoon To Meri Jaan Nikal Jaati HaiShiddat-E-Dard Se Aawaaz Badal Jaati HaiSaans Bhi Dar Dar Ke Fatima Leti Hai, Is Qadar Hai IzaAe Nadeem, Ahmad-E-Mursal Ki Dulari DukhtarRo Ke Kehti Thi Nabi Paak Ki Pyaari DukhtarDekh Lo Ummat Ne Aapki Beti KaHaal Kya Kar Daala
Pehle Jaisi Nahi Rahi Zahra
Nadeem Sultanpuri · Poet: Nadeem Sultanpuri · 2026
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.