Qaid Se Chutke Aaayi Hai ZainabSadme Dil Par Uthayi Hai ZainabMai Hoon Zainab Falak Satayi HoonTumse Milne Yahaan Mai Aaayi HoonAur Lute Qafele Ko Laayi HoonBhaayi Kya Kya Sitam Uthayi HoonSham Tak Nange Sar Gayi ZainabKyun Na Phele Hee Mar Gayi ZainabUth ke Dekho To Ek Nazar BhayiTukde Sadmon Se Hai Jigar BhayiHogaya Hai Safed Sar BhayiJhuk Gayi Hai Meri kamar BhayiWada Poora Karke Aayi HoonPusht Par Taziyane Khaayi Hoon.Saare Kunbe Ko Saat Laayi ThiMehnato Se Ye Ghar Basayi ThiMaine Daulat Ye Maase Payi ThiHogayi Dafri Jo Kamayi ThiAb Ho Kyun Kar Mere Basar BhayiHaayi Kis Muu’h Se Jaa’on Ghar Bhai.Thi Muqadar Me Meri RuswaayiKyun Na Darbar Hee Me Mauth AayiPesh Hakim Gayi Ye Dukh PayiGhussa Aaya Tha Pee Gayi BhayiJo Hue Zulm Seti Gayi ZainabSab Ke Rone Ko Reh Gayi Zainab.Kya Batau Jo Guzre Ranjo MehanBazoon Me Meri Bandhi Thi RasanThe Tamashayi Saare Mard-o-ZanLut Gayi Lut Gayi Mai Shahe ZamanPhiri bazareta Shaam Me ZainabGayi Darbar Aam Me Zainab.Jab Kiya Hamko Daaqile ZindaaNaam Ko Bhi Na Roshni Thi WahaanRoke Kehti Thi ye Sakina jaanYaan Se Le Kar Chalo Phupi AmmaMujh Se Bardaash Ho Nahi SaktiMai Andhere Me So Nahi Sakti.Maarte The Tamache Baaniye ShamKaan Se Us Ke Cheen Kar GoharHogaya Tha Lahu Me Kurta TarKya Kahoo’n Ab Ke Phat Raha Hai JigarShimr Ki Khaa Ke Seliyaan bhayiMar Gayi Teri Neem Jaa’n Bhayi.Qabar Sheh Ki Banayi Hai ZainabKuch Yateeman ko layiKehti Hai Ro Ke Lo Qabar BhayiQatam Ab Hogaya Safar Bhayi.
Qaid se chutke aayi hai zainab
Mir Rehan Abbas · 2019
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.