Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Qasim jo gire ghode se

Shadman Raza · 2017

Haaye..1. Qasim jo gire ghode se, tha maut ka pehra..(2)tha khoon mein dooba hua woh, chaand sa chehrachhalni tha badan teero se, har zakhm tha gehrakhoo'n sar se baha, ban gaya ek ladiyo ka sehraarey, is tarha larazta hua, laasha nahi dekhais shaan ka kabhi koi dulha nahi dekha2. Har jod tha toota hua, har band juda thabaazu hai ye wo jispa ke taweez bandha thaarey,kuchla hua seena tha, lahu sar se baha thais phool se bacche pe ajab zulm hua thaye wazn ka taapo ka wahi, toot gayi thisab pasliya'n seene mein kahi'n toot gayi thi3. Maida'n mein madad ke liye chillate the qasimjaate the idhar aur udhar aate the qasimarey, dam atka tha aur chayn nahi paate the qasimlagti thi jo taape to tadap jaate the qasimarey, ghodo se kuchal jaane ki zehmat na dikhayeallah kisi ko ye musibat na dikhaye4. Sheh khaak pe bhai ka pisar dhoondh rahe haimaida'n mein wo laasha hai kaha'n dhoondh rahe haiarey, ankho'n mein andhera hai magar dhoondh rahe haiphir bhai ka har lakht e jigar dhoondh rahe haiarey, tibra ke wahi'n girte hai ghash aate hai sheh kojab jism ka tukda koi mil jaata hai sheh ko5. Shabbir ne jisko kabhi godi mein sulayahaatho ko bhi chuma kabhi seene se lagayaarey, taqdeer ne ye aaj ajab waqt dikhayalaasha usi bachhe ka hai chadar mein uthayathaame hue kaule hasan e khasta jigar haiaaza ki ye gathdi nahi bewa ka pisar hai6. Seh lete hai kuch dard bataye nahi jaatelaashe kabhi hisso mein uthaye nahi jaategar shaah rida apni bichaye nahi jaatetukde kabhi qasim ke uthaye nahi jaatearey, chadar ko jo thaame hue abbas khade haiakbar bhi sahare ke liye paas khade hai7. Kya haal hai laashe ka bataya nahi jaatashabbir se sadma ye uthaya nahi jaataarey, gehra hai bohot zakhm chupaya nahi jaatakhaime ki taraf badhte hai, jaaya nahi jaataarey, is gham ka kaha'n baar utha payegi bewajab laashe pisar dekhegi mar jayegi bewa8. Arey, dil apna sambhala, kabhi chadar ko sambhalakhaime ki taraf chalne lage sayyede walatareek hua jaata tha, aankho'n ka ujalachadar mein bandhi laash ko jab saamne daalafarwa ne ye pucha ke kaha'n laal mera haidil hilta hai batlaiye is gathdi mein kya hai9. Arey, gathdi jo khuli hashr bapa ho gaya har sutukde tha badan laash ka aur khoo'n bhare gesuarey, taapo ke nisha seene mein aur aankho'n mein aasukehne laga, aahista se zehra ka wo mehruye dekhiye jo ek tan e sadpaash hai bhabhipehchaniye qasim ki yehi laash hai bhabhi10. Maa gir gayi,maa gir gayi ye dekhke tibra ke zamee'n parmehshar se hi pehle tha waha khaime mein mehshararey, farwa ko sambhale rahi khud zainab e muztarshabbir ki aankho'n mein qamar phir gaya manzararey, larzish thi har ek tukde mein kuchla hua tan tha..(2)shabbar ka kaleja tha ke qasim ka badan tha

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.