Qatl e ali pe eid manate hain musalmaanDil aal-e-payambar ka dukhate hain musalman1. Khud Eid soghwaar hai manzar yeh dekh karKufe ki gali aise sajate hain musalman2. Misl-e-shab-e-aashur shab-e-eid ho gayi..naqsh e khuda ko haye mitate hain musalmaan3. Kufe me jashn char su mahaul khushnuma..sadaat ke gham yu'n bhi badhate hain musalman4. Zainab hai muntazir ke ho pursaan e haal kaunPursa kya tasalli ko na aate hain musalman5. Zeher e dagha se chaak kiya jigar e hasan ko..yu'n khoon mustafa ka bahate hain musalman6. Paigham bhej bhej ke karbobala ki samt..sarwar ko karne qatl bulate hain musalman7. Akbar ka qatl hona mohammad ka qatl haiTasweer-e-risalat bhi mitate hain musalma'n8. Aati hai jab bhi EID 'SHABIH' gham manata haiKhushiya'n dhamaal jashn manate hain musalma'n
Qatl e ali pe eid manate hai musalman
Shabih Abbas Jafri · 2018
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.