Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Qaza

Shahid Baltistani · 2006

QazaAy jaan-e-man ya hussain, ay deen-e-man ya hussain [ishk-e-tora zindagi, man sagi tu ya hussain] ×2Ay waqt-e-ajal rukhja, dede mujhe kuch lamheAshko(n) se wuzu karke [ik baar ye kehne de] ×2[Hussain hussain hussain, ya hussain] ×4Eik awaaz suni bad-e-azan waqt-e-jannamye wohi naam tha jis naam ka ab hai matam(Baap ne deke azaa(n)) x2 Kan mei di ye sada[Hussain hussain hussain, ya hussain] ×4Bolna bhi nahi sikha tha magar seekh liyaAzmat-e-farsh-e-aza matam-e-shabbir hai kya[Haath sina pe gaya] ×2 Ayi jis waqt sada[Hussain hussain hussain, ya hussain] ×4Jab zara hosh sambhala to ye taleem miliBolo beta ke ali to hai imam-e-azali[Panjetan paanch kaho] ×2 Phir kaho aaka mera[Hussain hussain hussain, ya hussain] ×4Maut barhak hai to isse mujhe inkaar nahiJuz gham-e-sibt-e-nabi kuch mujhe darkaar nahi[Hai agar waqt-e-qaza] ×2 Mujhko kehne de zara[Hussain hussain hussain, ya hussain] ×4Maut kehne lagi ajaawu(n) to kab talti huTere saaye ki tarha saath raha karti hu(n)(Maut se mene kahaa(n)) x2 Ayi kehti huwi ya[Hussain hussain hussain, ya hussain] ×4Ambhiya chore na chore hai farishte meneRuh se jism ke rad kardiye rishte mene[Us pe kuch bas na chala] ×2 Jis ne ik baar kahaa(n)[Hussain hussain hussain, ya hussain] ×4Maat khayi hai sar-e-karbobala rab ki qasamDekha ansar-e-hussaini ko to larze the qadam[Unse jis waqt mili] ×2 Mujhko bhi kehna para[Hussain hussain hussain, ya hussain] ×4Haye jis waqt chala sibt-e-nabi par khanjarMene chaaha ke mei marjaawu(n) wahi par ghirkar[par ye tha hukm-e-khuda] ×2 Chaahiye mujhko mera[Hussain hussain hussain, ya hussain] ×4Ruh-e-shabbir ko rote huwe jab kabz kiyaTha meri pusht pe mawjood wohi ik saaya[Mene ki uspe nazar] ×2 thi ye zahra ki sada[Hussain hussain hussain, ya hussain] ×4Mawt "Rehan" muhibbo(n) ko kaha ati haiWo to khud mata shaheeda(n) ki khabar lati hai[Kabr mei jaake bhi ham] ×2 Kya kahe iske siwa[Hussain hussain hussain, ya hussain] ×4

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.