Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Ran mein hua nabi ka nawasa lahoo lahoo

Mustafa Hussain Chopra · 2017

1Ran me huva nabi ka navaasa lahoo lahoo.Anjaam deke aakhri sajda laho laho2Aaya nahi zameen pe jab zeen se gira.Sheh ka badan tha teero'n pe thehra lahoo lahoo.3Sar kat raha tha bhaai ka aankho ke saamne.Zainab ka ho raha tha kaleja lahoo lahoo.4Phaila ke god baithi hai maa qatlgaah maiHoga yaha pe uska dulaara lahoo lahoo.5Rag'da tha aisa shimr ne gardan pe shaah kiKhanjar bhi ho gaya tha laai'n ka lahoo lahoo.6Takraae the sitaare sitaaro'n se baar baar.Or ho gaya tha arshe moalla lahoo lahoo7Peshaani apni mal ke woh khoone husain me.Khayme me aaya shaah ka ghoda lahoo lahoo.8Roke sakeena kehti yeh zuljanaah se.Kis ja pada hai baaba akela lahoo lahoo.9Paala tha jisne pees ke chakki husain ko.Maa'n ne hai dekha usko tadapta lahoo.10Dauda ke ghode taapo'n se paamaal kar diya.Mazloome karbala ka janaaza lahoo lahoo.11Khidmat me fatema ki yeh nazraana ho qubool.Navshad o Mustafa ka yeh nawha lahoo lahoo.

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.