Chal pada karbobala se jab husaini qafelaek rasan mein pusht e abid aur tha baqar ka galasaans khanjar ki tarah mehsoos jab hone lagiapne babajaan se rokar ye Baqar ne kahaAye mere baba.. Aye mere babaRassi mein gala hai Baqar kaTu holay holay chal baba ..(2)Mushkil hai safar mar jaauga ..(2)Tu holay holay chal babaAye merai baba ..(2)Rassi mein gala..1. Padhni hai namaz e mazloomi, Baba tu imamat karta jaKhud dhoop bhi ham pe roti hai, Jalta hai mussala reti kaMai shukr ka sajda kar lu ada, Tu holay...Aye mere baba.. Aye mere babaRassi mein gala hai Baqar kaTu holay holay chal baba2. Kulsoom, Sakina, Zainab hai, Aur saath Ruqqaya bibi haiIs ek rasan mein Aye baba, Har umr ki Zahra(sa) qaidi hayGirti hai meri amma Fizza, Tu holay...Aye mere baba.. Aye mere babaRassi mein gala hai Baqar kaTu holay holay chal baba3. Ab dhoop mein itni shiddat hai, Jalte hain aseeri ke zewarPani to nahi hai ansoo hai, mein un pe chidak dunga aa karAaram tujhe mil jaye ga, Tun holay...Aye mere baba.. Aye mere babaRassi mein gala hai Baqar kaTu holay holay chal baba4. Ankho'n se rawaa'n hai khoon tere, Jo teri phuphi hai be pardaMeri bhi phuphi hai be chadar, Woh naam Sakina hai jis kaKhinchta hai rasan se us ka gala, Tu holay...Aye mere baba.. Aye mere babaRassi mein gala hai Baqar kaTu holay holay chal baba5. Islam bachane ki khatir, Nikli hai sharafat be chadarPaoon ke chhaale rote hain, Chalti hai imamat kanto'n parYe pehla safar hai Zainab ka, Tu holay..Aye mere baba.. Aye mere babaRassi mein gala hai Baqar kaTu holay holay chal baba6. Dekha nahi jaata Aye baba, Mujh se ye qayamat ka manzarRukti hai kabhi chalti hai kabhi, Zainab ke badalte hai tewarYe Shaam ko jata hai rasta, Tu holay holay chal babaAye mere baba.. Aye mere babaRassi mein gala hai Baqar kaTu holay holay chal baba7. Gir gir ke jo chalti hai Zainab, Mehsoos mujhe bhi hota haiSajjad pukare Aye beta, Mera bhi kaleja phat-ta haiJab sunta hoon tera noha, Tu holay holay chal babaAye Mere Beta..Aye mere betaRassi mein gala hai Baqar kaTu holay holay chal baba8. Gar tez chala to Aye beta, Bazar e sitam aa jaye gaAahista agar beemar chale, Durron ki azziyat payegaAur tere labon par hai beta, Tu holay holay chal babaAye Mere Beta..Aye mere betaRassi mein gala hai Baqar kaTu holay holay chal baba9. Manzoor azziyyat hai mujh ko, Baqar ne Takkalum di ye sadaHar kaam mein teri marzi hay, Tu jaise chahai chal babaMai ab na kahoon ga Aye baba, Tu holay holay chal babaAye mere baba.. Aye mere babaRassi mein gala hai Baqar kaTu holay holay chal babaHaye baba....
Rassi mein gala hai baqar ka
Shahid Baltistani · 2015
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.