Azadari MediaAzadari Media

Ro Ro Ke Qabr E Zehra sa

Abbas Ali Aarfi · Poet: Nawaz Aarfi · 1448

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Andheri Raat Hai, Bint-e-Nabi Ki Mayyat HaiKhuda Ka Sher Hai, Bachche Hain Aur Ghurbat HaiLaraz Rahi Hai Zameen, Aasmaan Rota HaiLehad Batool Ki Banti Hai, Ek Qayamat HaiRo Ro Ke Qabr-e-Zahra Haider Bana Rahe HainGhurbat Pe Fatema Ke Aansoo Baha Rahe HainGhurbat Hai, Bekasi Hai, Har Simt Hai AndheraRuk Ruk Ke Khodte Qabr-e-Batool MaulaShabbir Aur Shabbar Mitti Hata Rahe HainGhurbat Pe Fatema Ke Aansoo Baha Rahe HainHaider Ke Dil Pe Khanjar Sadmon Ka Chal Raha HaiLagta Hai Ab Ali Ka Bhi Dam Nikal Raha HaiYun Bailcha Zameen Ke Upar Chala Rahe HainGhurbat Pe Fatema Ke Aansoo Baha Rahe HainHoti Hai Aaj Larzish Khaibar Shikan Ke Tan MeinKaisa Ye Waqt Aaya, Quwwat Nahi Badan MeinUthte Nahi Hain Baazu, Lekin Utha Rahe HainGhurbat Pe Fatema Ke Aansoo Baha Rahe HainZahra Ki Pasliyon Ke Tukde Jab Se DekhaBheega Hai Aansuon Se Sher-e-Khuda Ka ChehraAankhon Se Ashk Gir Kar Seene Tak Aa Rahe HainGhurbat Pe Fatema Ke Aansoo Baha Rahe HainHai Aaj Murtaza Ke Upar Badi QayamatQabr-e-Batool Inse Banwa Rahi Hai QismatMitti Mein Sayyeda Ko Dafnaane Ja Rahe HainGhurbat Pe Fatema Ke Aansoo Baha Rahe HainBachchon Ko Maa Ki Soorat Dikha Rahe Hain HaiderAur Aakhri Ziyarat Karwa Rahe Hain HaiderRukh Se Kafan Hata Kar Chehra Dikha Rahe HainGhurbat Pe Fatema Ke Aansoo Baha Rahe HainHasnain Maa Ke Gham Mein Karte Aah-o-ZaariBadhti Hi Ja Rahi Hai Dono Ki BeqaraariSeene Se Laadlon Ko Maula Laga Rahe HainGhurbat Pe Fatema Ke Aansoo Baha Rahe HainMaula Ne Sayyeda Ko Jab Qabr Mein UtaaraMehboob-e-Kibriya Ko Rote Hue PukaaraHaathon Ko Mustafa Ke Jis Dam Ali Ne DekhaSarkar-e-Do-Jahan Se Karne Laga Ye NaalaYe Gham Kabhi Bhi Mere Dil Se Juda Na HogaUmmat Ne Fatema Ko Tadpa Ke Maar DaalaLauta Raha Hoon Aaqa, Main Aapki AmaanatZahra Ko Zaalimon Ne Di Hai Badi AziyatKaise Bayaan Karun, Mujh Mein Nahi Hai HimmatBeti Se Pooch Lena, Khud Pasliyon Ki HaalatQismat-Nawaaz, Kaisi Manzil Pe Laake AayiRo Ro Ke Qabr-e-Zahra Haider Ne Khud BanaayiLekin Nishaan-e-Turbat Khud Mita Rahe HainGhurbat Pe Fatema Ke Aansoo Baha Rahe Hain

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.