1. char sala bachi ka ab waqia sunoKarbobala sai sham k zindaan talak chaloShabbir ki yateema k hallat mai dhaloGham yu kro k cheray par tum khak ko malobarhnay lga tha shimr jo sarwar k samneyBint e hussain roti thi khanjar k samney2. Baba pai chlta dekh k khanjar sehm gayiTb sai hi shimr sai woh bohot khof mai rahiImdaad k liye woh suye nehr chal pariJb na milay chacha to najaf ki taraf barhiArey boli dada meray gohar khechta tha wohBaba p charh k balon sai haye khelta tha wo3. Dada jalaya kurta mera,wah museebataPani bhi samney tha baha,wah museebataChini gayi saron sai rida,wah museebataMujh ko tha tazeana lga,wah museebataJb sai chacha gaye hain nazar khm meri huiDadi ko mat batana qamar kham meri hui4. Pani ka quza aya jo pyason k wastayZainab nai wou barha diya bachon k samneyBacho mai phir sakina k cheray ko dekh kBoli ae jaan choti ho tum hi har 1 saiYeh sun k uth k boli woh khemay k baab prAsghar ka haq hai mujh sai ziyada is aab pr5. Guzri jo gum ki sham to bachay ginay gayeEk na mili to khemay kai nalay shuru huayFizza k sath bint e ali k qadam barhayHaye sakina keh k woh maqtal ki jaa chlayManzar jo dekha gir gayi zainab bhi kanp krTeeron pai tha hussain sakina hussain pr6. Phir ayi yeh sada k chalo sham jana haiSb ek jaga sakina ko ek jaa bethana haiOunto ko tez rah mai humko chlana haiNaakay sai jaan bujh k isko ghirana haibachi k ghirnay sai jo shahey deen ka sir rkey ,abid ko itna maro k phir qafla chlay7. bint e ali nai naakay sai khud ko ghira diyaJis trha mun k bal tha zameen pr jari ghiraApnay ghamo ko bhool k zainab nai di sadaBatlao koi to meri bachi hai kis jagahDekha jo 1 koney mai 1 bibi ayi haiUsnai sakina goud mai apni sulai hai8. Zainab nai agay barh k kaha , shukria teraIs ban mai bhi khyal rkha , shukria teraGodi mai lai k pyar kia , shukria teraKoi nahi yaha pai mera , shukria teraPhir boli woh zaeefa tera asra hun maiZainab tu meray lg jaa galay fatima hu mai9. Amma sai mil k bint e ali roti jati thiRoodad sb ghamo ki woh ro kr sunati thiAmma sakina ko kahi na neend ati thiKhanay mai shimr k yh tamachay hi khati thiItnay mai dar k boli woh dukhia utho chaloAjaye na woh shimr sakina utho chlo10. Naakay k pass aa k yeh zainab nai ki fugabithla rhay ho tum meri bachi ko q wahaKhud ko sambhal pana bhi mushkil lgay jahaYeh sun k khuli bhi bibi sai krnay lga bayanArey mat fikr kro khof na khao tum is qadrBachi ko bandh dunga mai rasi sai ounth pr11. Na janay rah ka woh safr kis trha kataNakay sai woh ghiri bhi nhi khun bhi bahaHar mor pai sakina ko dukh naya milaDarbar sham mai toh sitam or bhi brhaArey itnay sharabio mai laeen nai kia hasadBachi ko woh kaneezi mai krnay lga talab12. Zindan mai yaad krti thi ghazi ko naik namApni hi soch mai bachi nai kiya phir kalamPathat uthaye phirtay rastay mai khas o aamKia kia btaun kitna kathan tha har 1 maqamRasi k sath yuh meri zehmat barhi chachaPanjo k bal mai raho chlti rahi chacha13. Jis dum sare hussain sakina ko tha milaBaba ko dekh dekh k denay lagi sadaMeray gohr yu cheenay k kano sai khun bahaBaba tamacha shimr laeen ka mujhay lgaTab sai sehm sehm k mai rehti hun baba janAhat sai bhi mai shimr ki drti hun baba jan14. Baba tumhay pata hai mai roti hun, raat bhrZindaan k is andheray sai drti hun, raat bharKrri hun yaad tumko na soti hun, raat bharAyengy kb chacha yehi kehti hun, raat bharMun sheh k mun pai rkh k bht royi haseenaSoyi toh phir kbhi nahi uth payi sakina15. Dekha jo chaar sala zaeefa ki lash koBint e ali pukari ae abid madad kroMeray qareeb a k sahara zara sa doMujh ko ab rabab ki janib liye chloArey batlaungi usko k kamayi ujr gayiTeri sakina sham mai guth guth k mar gayi16. Ghasala phir yateema ki khatir bulai haiChadar kafan k wastay woh sath layi haiGurbat yaha sakina pai kuch aesi chahyi haiGhasala cheekti hui parde sai ayi haiBoli yeh kaam mujh sai zara ho nahi rhaKurta badan sai iskay juda ho nahi rha17. Abid nai phir kaha meray baqir qareeb aaDafnaun kesay behen ko itna mujhay bataZanjeer tum sambhalo yeh sajjad nai kahaDafna chukay to ayi raza khak sai sadaLagta hai shimr ayega turbat pai bhi meriBaba k sir ko bhi yaha dafna do ae akhi.
Roodad E Sakina (S.A)
Syed Mohsin Hassan Jaffery · 2021
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.