Azadari MediaAzadari Media

Sabr Kar Raha Hai Ali

Shabih Abbas Arfi · Poet: Nadeem Sultanpuri · 1448

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Teen Jamadus SaniFatima ko dafn karne ke baadAli ghar aa gayePoori raatdard, karb, bechaini mein Ali ne guzariAur chaarJamadus Sani ki subhoAli Qabr-e-Rasool par pahuncheAurRasool ko mutawajjeh karne ke baadKainat ke Ameer nejo bain kiye hainwoh kuch is tarah hainRasool-e-Pak, Nabi-e-Khuda salam alaikAye Tajdar-e-Saf-e-Ambiya salam alaikSalam Khalk-e-Aqa pe ek fidai kaSalam aap pe ek gham naseeb bhai kaAli hoon aap ne apna wali kaha jiskoAli hoon aap ne saupi thi Fatima jiskoSalam uski taraf se bhi kar raha hoon mainKe jiske dard mein ghut ghut ke mar raha hoon mainWohi Batool jo tukra thi aap ke dil kaChhupa rahe hain laeen naam jiske qatil kaAbhi lehad mein usi ko chhupa ke aaya hoonNishaan bhi uski lehad ka mita ke aaya hoonHuzoor dard ki shiddat samajh rahe hain naNishaan mitane ka maqsad samajh rahe hain naBahut sataya hai logon ne meri Zehra koLahoo rulaya hai logon ne meri Zehra koAb uski aankh mein hargiz nami na dekhungaMain uski qabr ki be-hurmati na dekhungaMain sun raha hoon kayi din se siskiyan uskiMain sun raha hoon kayi din se siskiyan uskiBahut dinon se shikasta thi pasliyan uskiKayi dinon se Madine mein ghut raha hai AliBas ek aap ke waade pe chup khada hai AliChali gayi meri Zehra bikhar chuka hai AliTadap raha hai magar sabr kar raha hai AliKathin hai yeh imtehaan meraJigar hai sadme se paara paaraOh sitamgaron ne hamare ghar meinHamari Zehra ko maar dalaSitamgaron ne hamare ghar meinHamari Zehra ko maar dalaMagar Ali sabr kar raha haiMagar Ali sabr kar raha haiMagar Ali sabr kar raha haiHaaye AliHaaye AliHaaye AliHaaye AliTadap raha haiBikhar gaya haiMagar Ali sabr kar raha haiMagar Ali sabr kar raha haiTadap raha haiBikhar gaya haiMagar Ali sabr kar raha haiMagar Ali sabr kar raha haiMain ghut raha hoon bikhar gaya hoonSulag raha hai mera kalejaYeh daagh mar ke bhi mere dil seAb hashr tak mit nahi sakegaAli ki ghairat pe sab ke aageUtha hai Qunfuz ka taziyanaMagar AliMagar Ali sabr kar raha haiTadap raha haiBikhar gaya haiMagar Ali sabr kar raha haiMagar Ali sabr kar raha haiKhuda kare na yeh waqt aayeKisi bhi shauhar ki zindagi meinPade hain neele nishaan ZehraKe rukh pe Haider ki zindagi meinGhazab toh yeh hai suna hai maineHasan se bhi zikr is jafa kaMagar Ali sabr kar raha haiTadap raha haiBikhar gaya haiMagar Ali sabr kar raha haiMagar Ali sabr kar raha haiRahegi sharmindagi hameshaMujhe Husain-o-Hasan ki maa seJo poochhti thi Ali ke aansuWohi woh rote hue jahan seSitamgaron ne hamari ZehraKo aakhri saans tak rulayaMagar Ali sabr kar raha haiMagar Ali sabr kar raha haiTadap raha haiBikhar gaya haiMagar Ali sabr kar raha haiMagar Ali sabr kar raha haiLaeen ke pairon ki thokaron neMeri shuja'at pe chot ki haiMagar Ali ke Khuda ki marziAli ke jazbaat se badi haiMeri nigahon mein phir raha haiBatool ke qatilon ka chehraMagar AliMagar Ali sabr kar raha haiTadap raha haiBikhar gaya haiMagar Ali sabr kar raha haiMagar Ali sabr kar raha haiNa seh sakega woh dard koiRasool zaadi ne jo sahe hainBatool ki pasliyon ke tukdeMere kaleje mein chub rahe hainAli ki har saans chahti haiBatool ki siskiyon ka badlaMagar Ali sabr kar raha haiTadap raha haiBikhar gaya haiMagar Ali sabr kar raha haiMagar Ali sabr kar raha haiKiye hain do tukde karke meraJigar meri Fatima ke qatilChhupa diya ek ko zameen meinAur ek ki qabr hai mera dilMain apne Mohsin se mil na payaMain uska chehra na dekh payaMagar Ali sabr kar raha haiTadap raha haiBikhar gaya haiMagar Ali sabr kar raha haiMagar Ali sabr kar raha haiMujhe zara der tegh uthaneKi dijiye ya Nabi ijazatAli mein toh heen-e-qabr-e-ZehraKo dekhne ki nahi hai himmatHai aakhri had pe zabt meraPata hai dushman ka sab iradaMagar Ali sabr kar raha haiTadap raha haiBikhar gaya haiMagar Ali sabr kar raha haiMagar Ali sabr kar raha haiSada-e-matam ki aa rahi thiNadeem Qabr-e-Nabi se paihamAli aa keh rahe the HaiderGawah rehna Rasool-e-AkramTadap rahe hain Ali ke bachcheUjad gayi hai Ali ki duniyaMagar Ali sabr kar raha haiTadap raha haiBikhar gaya haiMagar Ali sabr kar raha haiMagar Ali sabr kar raha haiTadap raha haiBikhar gaya haiMagar Ali sabr kar raha haiMagar Ali sabr kar raha hai

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.