Sajjad ko bhula na kabhi shaam ka bazaarZainab sare darbarAjaayie imdad ko, ya haidare karrar, sajjad hai beemaar1. Rote hai to khun aankhon, se behta hai subho shaam, ye ranj ye aalaamGardan mein gira(n) tauq hai, paaon mein chube khaar, sajjad hai beemaar2. Zainab ke khule sar ko jo dekha to pukaare, ham lut gaye saareKhu(n) pusht se jaari hai ke hai durro(n) ki bochaad, haaye aabide beemaar3. Neze pe hai jo baap ka sar khun mein jo tar hai, qayamat ka safar haiSone nahi deti hai ye zanjeer ki jankaarAy qul ke madadgaar4. Darbaare yazidi mein khade the sabhi saadaat, haaye zulm ki wo raatZainab khule sar kehti thi ajaao alamdaar, sajjad hai laachaar5. Dukhiya thi sakina tha lahu aankho se jaari, ro ro ke pukaariRukhsaaro par ab tak hai tamacho ke bhi asaar, suno aabide beemaar6. Safdar wo sakina ka tadapna hai qayamat, aur dhoop ki shiddatJallaad hilaa deta hai zindaan ko har baar, sajjad hai beemaar
Sajjad ko bhula na
Imran Datoo · 2018
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.