Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka

Ali Safdar · 2018

Haye sakina, haye pyaas..(2)gila bhi karti nahi apni tashnakami kasakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka..(2)1. Wo pehli shaam judayi ki aur wo tanhayiwo ghup andhera wo maqtal wo yaad baba ki..(2)mayaan e dard o alam hai safar yateema kasakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka2. Hai dastane sitam wo jala hua kurtanisha'n tamacho ke rukhsaar par daleel e jafa..(2)gawahi zulm ki deta hai zakhm seyli kasakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka3. Talaash seena e sarwar hai aur sakina haiajeeb hooka sa manzar hai aur sakina hai..(2)na puch haal aye ghazi teri bhatiji kasakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka4. Phuphi ko takti hai hasrat se ye sukhan keh karfigaar kaano se behta hai khoon reh reh kar..(2)gulu ko karta hai zakhmi hisaar rassi kasakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka5. Wo wehshatein wo udasi wo khauf aur wo ghazabjo qaid e shaam mein guzri wo sakhtiya'n hai ajab..(2)ye dil ke waaste samaa'n hai ghum gusari kasakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka6. Padar ke baad kabhi chayn ki na neend aayiajab sitam hai padar par na khul ke ro payi..(2)wo ghum bhula na saki baap ki judayi kasakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka7. Sitam ki saari hado se guzar gayi akhirpadar ki yaad mein asif wo marr gayi akhirchalo ye waqt hai zainab se pursa daari kasakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.