Hai Bachpan Magar Dikh Rahi Hai ZaeefaSakeena Ko Itna Sataya Gaya HaiIse Qaidkhaane Talak Karbala SeChala Kar Ke Panjon Pe Laaya Gaya Hai1.Agar Baap Ki Laash Par Roye BetiHai Dastoor, Dete Hain Usko TasalliMagar Shah Ki Dukhtar Ko Laashe Padar SeTamaanche Laga Kar Hataaya Gaya HaiHai Bachpan Magar Dikh Rahi Hai ZaeefaSakeena Ko Itna Sataya Gaya Hai2.Sakeena Ke Dil Ko Jalaane Ki KhaatirBhatiji Ka Sadma Badhaane Ki KhaatirBhari Mashk Bahte Dikhayi Gayi PhirChacha Ka Kata Sar Dikhaya Gaya HaiHai Bachpan Magar Dikh Rahi Hai ZaeefaSakeena Ko Itna Sataya Gaya Hai3.Idhar Dekhti Hai To Baba Ka QaatilUdhar Rukh Ko Phera To Bhaiya Ka QaatilHar Ek Simt Se Dukhtar-e-Shaheedeen KeKaleje Pe Khanjar Chalaya Gaya HaiHai Bachpan Magar Dikh Rahi Hai ZaeefaSakeena Ko Itna Sataya Gaya Hai4.Ye Dar Hai Sahem Ke Na Mar Jaaye BachchiHai Dahshat Hi Masoom Ke Dil Mein AisiGala Jis Se Kaata Gaya Tha Padar KaWo Khanjar Dikha Ke Daraaya Gaya HaiHai Bachpan Magar Dikh Rahi Hai ZaeefaSakeena Ko Itna Sataya Gaya Hai5.Tha Tashna-Dahani Ka Kuch Aisa AalamKi Lagta Tha Bas Ab Nikal Jaayega DamIs Aalam Mein Masoom Bachchi Ko PaaniDikha Kar Zameen Pe Bahaaya Gaya HaiHai Bachpan Magar Dikh Rahi Hai ZaeefaSakeena Ko Itna Sataya Gaya Hai6.Hai Wahid Sakeena Thi Aisi YateemaNa Koi Tasalli, Na Koi DilaasaTamaanche Laga Kar Rulaaya Gaya HaiTamaanchon Se Hi Chup Karaaya Gaya HaiHai Bachpan Magar Dikh Rahi Hai ZaeefaSakeena Ko Itna Sataya Gaya Hai7.Nadeem, Aisi Gurbat Na Dekhi Kahin BhiHai Kis Kaifiyat Mein Ye Masoom BachchiNigaahen Bhi Kamzor Hone Lagi HainKhuda Jaane Kitna Rulaaya Gaya HaiHai Bachpan Magar Dikh Rahi Hai ZaeefaSakeena Ko Itna Sataya Gaya Hai
Sakina Ko Itna Sataya Gaya Hai
Abutalib Sultanpuri · Poet: Nadeem Sultanpuri · 1444
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.