Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Sakina Ne Kaha Duldul Sunani Kis Ki Laya Hai

Gulam Ali Naqvi · 2022

Sakina ne kaha duldul sunani kiski laya haiBata kuch to mere baba ko kis Jan chord aaya hai1.) Sakina ne kaha. Kis vaste tu sar patakta haiVo bola jalti reti par tane athhar tadapta hai2.) Sakina ne kaha baba hamare kiya huve duldulIsharo se kaha pamal lasha ran mein hota hai3.) Jo pucha mere baba ki madad ko kaun aaya thaZubane bezubani se kaha beemar beta hai4.) Wo boli kuch bata mathe pe tere khun hai kiskaNishani ke liye sar unke kadmo se lagaya hai5.) Sakina ne kaha kiya marte dam Pani bhi paya thaJuka kar sar kaha mahenga hai Pani khun sasta hai6.) Wo boli marte dam hai wan kobhi sehraab karte haiKaha sukhi raghe thin kund khanjar uspe faira hai7.) Jo pucha kiya chacha ko hai khabar baba ke mar ne kiWo bola Han abhi tak naher pe lasha tadapta hai8.) Sakina ne kaha. Kiya bhai akbar bhi natha meraKaha usne to pahele hi jigar par neza khaha he9.) Wo boli kuch khabar tujko ali asghar ki hai duldulPatak kar sar Kahan haan nanhe ka madfan banaya hai10.) Bata dul dul muje ab kis tarhan se nind aaegiChacha ki Goud ka bister na ab baba ka sina hai11.) Balae leke boli tuj pe main kurban ay duldulMuje pahoncha uss jaga jis jagah baba ka lasha hai12.) Sakina ne kaha rokar main jaungi Najaf rahebarBacha le aake dada janke ab khaima bhi jalta hai

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.