Ay shere nayastane haidarAy [sakhi babul haawaij] ×2Bawafa AbbasAs salaam ay bawafa babul hawaij As salamBekaso(n) ka aasra babul hawaij as Salam[Qaime ale Muhammad] ×2 kul imamon ka salaamEy duae sayyada babul hawaij as SalamWho roz ke jiska wada heWho roz yaqeenan aayegaInsaa(n) ka muqaddar badlegaJab noore imamat chhayegaGunje gi sadae jaaul haqAur mehdie dauraan ayegaUs roz se saare aalam meBas ek alam lehraegaGhazi ka alam is sayaJo kal bhi tha jo aaj bhi heAur is ka karam kal bhi hoga[ Abbas ] ×31. Surajon mein chand band kar is tarah zinda rahaChadare zehra ke saaye mein sada palta rahaYe ali ibne abi talib ka sarmaya rahaZainabo kulthum ki bhi aankh ka tara raha[Salam abbas ya maula] ×32. Hurmate deene nabi zehra ke ghar ki aabruDil he ye ummul bane(n) ka aur haidar ka lahuSeerate shabbir o shabbar ka sarapa hubahuPanjatan ke darmiyaa(n) kiska sharaf aisa[Salam abbas ya maula] ×33. Ye woh ghar he jis taraf dekha humein maula milaHar taraf maula hi maula ibteda ta intehaGird maulaon ke ye ghazi he maulae wafaEy khuda maula nabi maula ali maula[Salam abbas ya maula] ×34. Hay ali ki baadshahi aasma(n) ho ya zamee(n)Hay ali isme ilaahi Mustafa ka jaanashee(n)Doosra Haider nahin he doosra ghazi nahinYa ali kehta zabaa(n) ke saath dil bola[Salam abbas ya maula] ×35. Barh raha he jaanibe darya alam abbas kaKon rokega bhala barhta qadam abbas kaHaa(n) magar Shabbir ko sehna he gham abbas kaUmre shabbiri se apne ghaiz ko roka[Salam abbas ya maula] ×36. Al amaa(n) woh mashk ka chhidna tarapna sher kaYa Sakina Alwida kehkar who girna sher kaDekhti hi rehgayi rasta Sakina sher kaMarke bhi seene se liptaeya tha mashkiza[Salam abbas ya maula] ×37. Who karam lillah barhaale ghareeba(n) ya safeerAap se hi lo lagaye hein ye saare maatamiSarwaro rehan ki qayim rahe ye naukriEy sakhi babul hawaaij fazl ke baba[Salam abbas ya maula] ×3Saqa-e-Sakina
Salaam abbas ya maula
Nadeem Sarwar · 2009
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.