Chala mai waada nibhane salam maa ke mazaarsalam nana ke roze salam maa ke mazaar1. Mai tera deen bachaunga aye mere nanaMai apna khoon bahaunga aye mere nanahussain jata hai marne salam maa ke mazaar2. Meri shareek e safar ban ke saath chal ammasafar pe jaata hu kapde mere badal ammalibas e khuld saja de, badan pe phir ek baar3. Dua karo koi sar be rida na ho ammanamaz e shauq e shahadat qaza na ho ammana aaye mere chaman pe, sitam ki gard o ghubar4. Diye jalane ko nana tumari roze parzaroor aayegi sughra har ek sham o saharkhuda kare rahe roshan, sada tumhara mazaar5. Tumhare jaisa hai nana ye mera laal akbardua karo na lage isko aasma'n ki nazarlute na door watan se, hamare dil ka qaraar6. Tamam phool se bache hai, aur garm hawahamare khoon ki pyaasi hai fauj e zulm o jafasafar mein koi shajar bhi, nahi hai saaya daa'n7. Ha ek phool to aisa hai jo khila bhi nahina paaye paani to kar sakta wo gila bhi nahiwo jis ke dahan se aati, hai dudh ki mehkaa'n8. Meri sakina kaha aur rasan ke band kaha'nzameen e garm pe chalna use pasand kaha'nqadam wo phool se nazuk, wo raaste purkhaa'n
Salam nana ke roze salam maa ke mazar
Nadeem Sarwar · 2000
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.