Zeen se girta hai Shabbir sanbhalo zainabJald abbas ko dariya se bula lo zainab1zakh itne hain lage khoon nahin rukta hai moh ke bal khaak pe shabbir gira jata hai badh ke bhai ko gale apne laga lo zainab 2tiron se dekho badan hai tere bhai bharaapne bete ko gale se main laga lon to zara do sahara zara bhai ko uthaolo zainab3dekha jaye ga na manzar ye teri madar seshimr kate ga abhi khushk gala khanjar semere bachche ko kise tarha bacha lo zainab 4apne bete ke main zakhmon pe laga dun marham dard kuch deer hi ho jaye mere lala ka kam bhai ke jism se ye teer nikalo zainab5baap ko dekhe ke sadmen se bikhar jaye gi dekh ke zakhmon ko beti yahin mar jaye gi zakhm pe apni refa jald ye dalo zainad 6tapte sahra men musibat men hazina us ki baap ke zakhmon ko dekhe na sakina us ki mere shabbir ke zakhmon ko chipa lo zainab 7zulm se jab bhi sakina kabhi ghabrati thishaah ke lashaye be sar se sada aati thi shimr se meri sakina ko bacha lo zainab 8Jism shabbir ka be jaan hua jata h Katne ke liye sar shimre laein ata hab nigahen zara kuch dheer hata lo zainab 9fateman lashaye sarwar pe pukarin Rizwan lashe farzand se mera nahin uthana asaan pasliyan toti hain amman ko sanbhalo zainab ✍️Mirshah Rizwan
Sanbhalo Zainab
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.