Saqi-e-Mann Abu Turab AliKul-e-eeman Ain Qur’anFakhr-e-Mahtab AliSaqi-e-Mann Abu Turab AliKahan insan ko samajh tera maqam aata haiTujh pe Haider mere khaliq ka salam aata haiPehli saf mein na sahi aakhri saf mein hi sahiTere rindon mein kahin mera bhi naam aata haiDaftar-e-haq jo khangale to yeh maloom huaBa’d-e-Ahmad mere Haidar ka hi naam aata haiBistar-e-khatm-e-Risaalat nahi rehta khaliJab nabuwat kahin jati hai imam aata haiKon laye tera jawab AliSaqi-e-Mann Abu Turab AliRind tera teri rindi pe kyun na naaz kare?Jaam tera to zamane se be-niyaz kareTeri hi zaat-e-mubeen hai ke jis ka naam faqatKharay mein aur munafiq mein imtiaz kareYe un ke khoon ka mas’ala hai warna kyun koi?Mere Ali ki wilayat pe etiraaz kareRuku mein aaye sawali to sun Ada-e-AliKe wo zakat ada bar-sar-e-namaz kareHai misali tera shabab AliSaqi-e-Mann Abu Turab AliTeri dargah ki aseeri se sukhan-war bhi hueMeesam-o-Qambar-o-Salman-o-Abuzar bhi hueGhaus-o-Abdal-o-Qutab Khwaja Qalandar bhi hueHadd to ye hai keh tumhi se wo bahattar bhi hueJaam-e-jam lakh fana Haidari paimane meinAatish-e-haq hai ayan Safdari parwane meinTere maston ko Ali kab hai gharaz duniya se?Ik alag duniya hai basti tere mastane meinHai Wilayat ka aftab AliSaqi-e-Mann Abu Turab AliAli Ali Maula Ya Ali Ali Maula[chorus]Dildar-e-Kibriya-o-Muhammad ho tum AliAshaab-e-Mustafa ke bhi Maula ho tum AliMushkil mein kyun Ali ko pukare na zamana?Khyber mein Mustafa ne pukara hai Ya AliHijrat ki shab Ali ne guzaari hai is tarahDuniya samajh na paai Muhammad hain ya AliEjaz-e-Mustafa mein shariyat khadi rahiDarwaza-e-Zahra pe Risaalat khadi rahiDosh-e-Nabi pe sajde mein aa kar charhe HussainBethe rahe Hussain ibadat khadi rahiMaula-e-dojahan ko hukumat se kya gharazThokar mein jis ke hashmat-o-sarwat padi rahiTa Surat-o paiwand-e jahan bood Ali boodTa naqsh-e zamin bud o zaman bood Ali boodShahi ke wali bood o wasi bood Ali boodSultan-e sakha-o karam-o jood Ali boodAn shah-e-sar-afraz ke andar shab-e-merajBa Ahmed-e-mukhtar yak-e-bood ali boodAn Lahmuka lahmi bishinau ta ke bidaniAn yarr ke-oo nafs-e-Nabi bood Ali boodAli Shah e Haider Imaman kabiraKe baad az Nabi shud basheeran naziraAli ibn-e-am-e-Muhammad Rasool astChoon Musa akhi guft Haroon waziraAli auliya ra daleel ast bar haqAli ambiya ra wali-an-naseeraMuhibb-e-Ali jannati baad-e-murdanBuwad aiman az khauf e munkir nakiraZahe izzo jalale bu-turab-e-fakhr-e-insaneAli-e-Murtaza Mushkil kusha-e-sher-e-yazdaneWali-e-haq Wasi-e-Mustafa darya-e-faizaneImam-e-do-jahan-e-qibla-e-deene wa imaaneAmeer-e-kishwar-e-faqr-e-shah-e-iqleem-e-irfaneKhuda goye Khuda beene Khuda daane Khuda shanePayambar bar sar-e-mimbar nashist-o-khvaand maulayashKe ta maulayash ra bashad andar khalq burahaneHan qismat mein likhi hai us ki zalalatJo rakta hai dil mein Ali se adawatAli se adawat Khuda se baghawatKase ra mayassar na shud een sa’adatBa ka’ba wiladat ba masjid shahdatAtta hai lab se nikalna ke Haideri hun meinTere amal se na jhalke Ali to kya hasilMilen ge naa’ra-figan bahut, “Hum Hussaini hain”Yazid-e-waqt pachhaada nahin to kya hasilGhurur-e-ilm se labraiz Mufti-o-mullaTeri nigah mein panjtan nahin to kya hasilKahan ki teri ibadat kahan ke sajday hainBasi na dil mein Ali ki vila to kya hasilKya ho gaya hai haal-e-musalman kya kahoonHain pur-malal Ya Ali ahwal kya kahoonZahir hai paraganda to batin bhi siyah haiKehne ko magar ummat-e-mehboob-e-Khuda haiEhsas ki dawlat hai na kuch ghairat-e-eemanNa barq hai seenon mein na himmat na vaza haiTaajir hain zameeron ke sar-e-aam musalmaanHaq baat kahoon in se to murda bhi bhala haiNa sift-e-khafi in mein na ausaf-e-jali hainBolen ge to aise ke zamane ke wali hainBe-khabar hain khud se to jahan bhar ki khabar haiKhali hain amal se magar auron ki fikr haiAfkaar jawanon ke zaboon-haal hain MaulaShaheen ki dosheeza-e-maghrib pe nazar haiHai Dukhtar-e-Islam-e-mubeen nafs ki laundiAfsos ke wo zeenat-e-har raah-guzar haiZahid ka zohd hai to dikhane ke liye haiMufti ka hai fatwa to kamane ke liye haiLagu hain kahan us pe ye ahkam-e-shariyatNaseh ki nasihat to zamane ke liye haiHaider si sakhawat na alamdar si jurratHasnain si shaukat hai, na akbar si basaratAbid si ibadat hai, Na Jafar si sadaqatZahra si taharat hai na zainab si balaghatThukra ke hum ne qaul-e-Nabi zee-maqam koThama hai hum ne Ya Ali har khas-o-aam koChorha Ali tujhe teri itrat se katt gayePhir yun hua ke hum to tehattar mein batt gayeDushwaar hai is halat-e-bad-haal mein rehnaYa Haider-o-Safdar ye Khuda Pak se kehnaParwardgar waqt-e-zahoor-e-imam a.s. haiPasti mein deen-e-AhmAd-e-Khair-ul-inam hai
Saqi-e-man Abu turab Ali (a.s)
Miscellaneous · 2024
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.