Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Sar e abbas aata hai

Mir Hasan Mir · 2017

Abbas haye abbas..(3)Sar e abbas aata hai..(3)Kaha zainab ne ye rokar, sambhalo bibiyo chadarSar e abbas aata haiBula laaye sakina ko..(2), koi zindaan se jakarSar e abbas aata haikaha zainab ne...1. Ye ghairat ka khuda hai uski ghairat ka takaza thakhula sar dekh ke naize se jo ye sar girata thanahi hai paas gar chadar to rakhlo haath hi sar parSar e abbas aata hai2. Bhara hoga lahu aankho'n mein uski khud hataungimai bachpan ki tarah se bhai ka chehra dhulaungiagar mumkin hai to dede koi paani mujhe laakarSar e abbas aata hai3. Haaye..mujhe uthna padega bibiyo tazeem ko uskimai maa ummul banee ki simt se ghazi ko chumungiarey sambhale sar koi aun o mohammad ke yaha'n aakarSar e abbas aata hai4. Isi ehsaas se usne nazar apni jhukayi haiuse maloom hai ye kitna ghairat mand bhaai haichupaye kis tarha zainab pade hai neel shano parSar e abbas aata hai5. Mila pani use pucha to kya batlayegi zainabbhala uski bhatiji ko kaha'n se layegi zainabnigahein uski dhundhegi sakina ko yaha'n aakarSar e abbas aata hai6. The sabki jholiyo'n mein apne apne laadlo ke sarRoqaiyya, umme laila, umme farwa, madar e asgharuthi kehte hue har maa se apne laal ka rakhkarSar e abbas aata hai7. Takallum shamiyo ki aurte bhi roti jaati haihaye, ali ki betiya'n jaldi se zakhmo ko chupati haikhadi hai haath phailaye hue khud zainab e muztarSar e abbas aata hai..(2)haye abbas, haye abbas, haye abbas

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.