Sataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine MeinYe Kaisa Waqt Baad-E-Mustafa Aaya Madine MeinNa Kar Paayin Wo Apne Baap Ka Dil Khol Kar MaatamBohot Takleef Pahunchi Fatima Ke Qalb Ko Us DamMusalmano Ne Jab Rone Se Bhi Roka Madine MeinSataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine MeinPidar Ke Haath Ki Likhi Hui Tehreer Ke TukdeBhरे Darbaar Mein Ghasib Ne Jab Soo-E-Zameen PhenkeNabi Ki Laadli Ka Dil Bohot Roya Madine MeinSataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine MeinJanab-E-Fatima Par Koh-E-Gham Be Inteha TooteKaleja Sayyeda Ka Phat Gaya Us Waqt Sadme SeTamaacha Jis Ghadi Maloon Ne Maara Madine MeinSataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine MeinFarishte Bhi Jahan Aakar Jhuka Dete The Apna SarSalaami Ke Liye Jis Dar Pe Khud Aate The PaigambarLaeenon Ne Jala Daala Wo Darwaaza Madine MeinSataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine MeinGira Jab Jalta Darwaaza Tadap Kar Reh Gayin ZahraShikam Mein Qatl Kar Daala Gaya Nan’ha Sa Ek BachchaNabi Zaadi Ne Mohsin Ka Bhi Gham Paya Madine MeinSataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine MeinQayamat Thi Gale Mein Murtaza Ke Baandh Kar RassiBana Kar Zaalimon Ne Haider-E-Karrar Ko QaidiYe Manzar Fatima Zahra Ko Dikhlaaya Madine MeinSataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine MeinAziyat Madar-E-Hasnain Ko Deti Rahi UmmatShikasta Pasliyan Lekar Ke Zahra Ho Gayin RukhsatJanaaza Fatima Ka Raat Mein Utha Madine MeinSataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine MeinSaja Rakha Hai Ummat Ne Jahan Par Gumbad-E-KhizraWahin Nazdeek Hi Ujdi Hai Qabr-E-Fatima ZahraSitam Ye Dekh Le Ja Kar Ke Khud Duniya Madine MeinSataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine MeinTadap Jaata Hai Dil Jab Is Tasavvur Tak Ye Aate HainAta Aur Eliya Ye Soch Kar Aansu Bahaate HainNahi Hai Qabr-E-Zahra Par Koi Saaya Madine MeinSataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine Mein
Satai Jaa Rahi Hain Fatima Zahra (sa) Madine Mein
Aizaan Abbas Arfi · Poet: Ata Abbas Jaipuri · 1448
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.