Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Sayyada Fatemah

Tejani Brothers · 2008

Sayyada Fatemah[Sayada fatemah] ×12Shohar wali, pidar hai payambar, pisar imamJis bibi ka nabi pe, lazim tha ehtaraamUmmat ko baad-e-ehmad, ayi na kyu(n) haya[Sayyada fatemah] ×8Duniya ko khalq karke, Allah ne kaha,Sara jahaan tere, sadqe me hai banaUncha hai kitna bibi, ye martaba tera[Sayyada fatemah] ×8Bibi tumhare dar se humko hai aasraZainab ka waasta hay sunlijiye duaMiljaye roze hashr, chadar ki bas hawa[Sayyada fatemah] ×8Kehti rahi mei fatema, bint-e-rasool hu(n)Bagh-e-Fidak ko cheen ke khush ho rahe ho kyunBint-e-rasool ki hai, kya hai yahi jaza[Sayyada fatemah] ×8Tutti huwi kamar hai, mohsin guzar gayeUmmat ne mujh pe baba kya kya sitam kiyeQabre rasool par yu(n) karti rahi buka[Sayyada fatemah] ×8Zainab ko ye wasiyyat deti hai fatemaBazar-e-sham o kufa ka hoga marhala,Deene khuda ka us dam, tum hogi aasra[Sayyada fatemah] ×8Zahra ka laal tha aur, zalim ki fauj thiChaaro(n) taraf se aayi, barsaat teer ki,Gore se jab gire to, sarwar ne di sada[Sayyada fatemah] ×8Balo(n) se saaf karti, zahra woh sar zami(n)Jis khaak pe ghiregi, shabbir ki jabi(n)Kya maa ke dil pe ghuzri, jab sheh ka sar kataa[Sayyada fatemah] ×8Beparda qafla jab, aale rasul ka,Karbobala me lut ke, zindan ko chalaZainab ko har qadam par, deti thi hosla[Sayyada fatemah] ×8"Shabbir ki dua hai" Abbas ki duaJeeteji nawha dono, parhte rahe teraMarte huwe bhi lab par, bas ho yahi sadaa[Sayyada fatemah] ×8

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.