Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Shaam Ke Zindaan Mey

Anjuman E ZAINABIA · 2018

Shaam ke zindaan mey margayi bintey HusainQabr mey Shabbir ko Aayega ab kaisey chainBoli Sakina liye godh mey baba ka sarrHaal hai kaisa Mera dekhiye baba HusainRuqq pey tamaacho'n ke nishaa' kaan Katey dekhkarGodh mey rota rahaa sarr e shah e mashraqainChaar baras ki kalii pyaas mey Bhi shimr kiKaisey tamaachey sahii sochiye aye waaledainChauk ke Wo neend se kehney lagi aye phupiiLeney mujhey aagaye fatema ke Noor e ainAaj hai soona huwa shaam ka zindaan KyuKya huwi wo baap ko roti thi Jo saari rainNaa hai Kafan aur naa dafn ka saamaa' koiDafn karengey to kaisey Ali ibney HusainLaasha e qwaahar baraadar na uthaa paayegaAayiye imdaad ko faatah e badr o hunainKehti hai umm e rabaab qaid mey aye laadliUt'tho Sakina utho waqt hai ye magrabainGaur se sunna zaraa aaj Bhi aye zaayeroGoonjti hai qaid mey baali Sakina ki BainDuqtar e Shabbir par aaqri Shabbir keGaib mey Bhi qoon ke aansu bahaatey hai nainMajlis e Shabbir mey baali Sakina pey sabroyengey *"GAAZI"* sadaa ahley aza e Husain

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.