Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Shabaan aagaya hai

Mir Hasan Mir · 2017

Shabaan shabaan..(4)shabaan shabaan shabaan aagaya hai..(2)shabaan shabaan shabaantabreek ya nabi, mabrook ya ali..(2)shabaan aagaya hai..(2)khushiya'n manao logo..(2)shabaan aagaya hai..(2)Ek saath leke kitne..(2)qur'aan aagaya haishabaan aagaya hai..(2)1. Ehle azaa jaha'n mein khushiya mana rahe haidard o alam ke maare sabko bata rahe hairehmat ka maah qable..(2)ramzaan aagaya haishabaan aagaya hai..(2)2. Shahi laraz rahi hai, hulchul machi hui haipehli(1) ko iski bint e haider jo aa gayi haiqasr e yazidiyat mein..(2)toofan aagaya haishabaan aagaya hai..(2)3. Murde ki tarha ghar mein sidhe padhe hue haipehli se shaikh sahib peele pade hue haitashkhees mein maraz ki..(2)yarqaan aagaya haishabaan aagaya hai..(2)4. Aayaat aa rahi hai karne ko peshwayishabaa'n ki teesri(3) ko uski hai roo numayijibreel jispe hone..(2)qurbaan aagaya haishabaan aagaya hai..(2)5. Jaate zamee'n ki janib dekha jo saathiyo kofitrus tadap ke bola mujhko bhi saath leloparr mujhko dene wala..(2)parrdaan aagaya haishabaan aagaya hai..(2)6. Chauthi(4) ko iski aaya jo hai wafa ka kaabaummul baneen maa hai, Haider hai jiska babayaani, yaani, yaani ali ke ghar kaimraan aagaya haishabaan aagaya hai..(2)7. Bole Ali ye lekar godi mein bawafa kojannat se aake sar par ek baar haath rakhdoZahra tumhare dil ka..(2)armaan aagaya haishabaan aagaya hai..(2)8. Khushiya manaye kyu na ghar aaj panjetan kaaaya hai saathwi(7) ko wo laadla hasan kakhud jiska sadqa lene..(2)rizwaan aagaya haishabaan aagaya hai..(2)9. Jis ka nahi tha saaya bankar usi ka saayais maah ki gyaarwi(11) ko aisa haseen aayakhud husn banke jiska..(2)darbaan aagaya haishabaan aagaya hai..(2)10. Azmat shabe zahoor e Mahdi ki hai niraliis raat paida hone wale hai sab halaliAllah...Allah ka zamee'n par..(2)farmaan aagaya haishabaan aagaya hai..(2)11. Jo sab ko dekhta hai ghaibat mein hai bazahiris maah ki pandrawi(15) ko wo hi imaam e aakhiradl e khuda ki lekar..(2)meezaan aagaya haishabaan aagaya hai..(2)12. Mauqa mila hai karle tay marefat ka zeenakar shukr rabb ka akbar ye fatmi mahinaphir teri zindagi ke..(2)dauran aagaya haishabaan aagaya hai..(2)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.