Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Shah Ast Hussain, Jab Wada E Tifli

Rizwan Rizvi · 2023

jab waada e tifli ko wafaa kar chukey shabbirsar maarka e karbobalaa kar chukey shabbirkhanjar ke taley shukr e khudaa kar chukey shabbirummat ke liye haq se duaa kar chukey shabbirteeroN ne sameTaa shah e bekas ka musallaatharraayii zameeN, kaaNp uthaa arsh e moAllaajo kaam thaa bhaai kaa bahen ne wo saNbhaalaajalte huwe khaimey se bhatije ko nikaalaadam toRh gayaa saamne har god kaa paalaalab tak na bar aayaa dil e betaab se naalaelaan kunaa naara e taqbeer thii zainabhaaN naasira e maqsad e shabbir thii zainabchaadar jo chini saaqi e kausar ko pukaaraaqaasim ko sadaa dii, Ali Akbar ko pukaaraahar zulm pe Abbaas e dilaawar ko pukaaraajhuley meN lagii aag tau asghar ko pukaaraaroyi kabhi, khaimoN ki kabhi aag bujhaayiibeemaar bhatijey ki kabhi aas baNdhaayiial kissaa namudaar huyii shaam e gharibaaNtaarikiyoN meN duub gayaa ganj e shaheedaaNeak adh jaley khaimey meN haram baithey haiN giryaaNsehme huwe bachhey haiN tau zainab thii pareshaaNrotii thi koii bibi tau detii thii dilaaseychuauNk uthhey na masoom, abhii soye haiN pyaaseyphir uthhi baRhey Azm se haider ki dulaariieak chub jaley khaimey ki haathoN meN uthaayisunsaan bayaabaan pe pehle tau nazar kiiphirne lagii phir khaimoN ke chaugird wo bibialllah re himmat, barhii zeeshaan thii zainabsoye huwe bachhoN ki nigehbaan thii zainabnaagaah sawaar eak nazar saamne aayaatharraane lagii jaan o dil e faatemaah zahraabolii ke khabardaar, wahiiN rok ke ghoRhaaro ro ke abhii soye haiN masoom, taras khaakeh de umar e sa’ad se lillaah ye jaakarkal din meN ujaale meN hameN looTnaa aakarzainab ki sadaa sun ke bhii Thehraa na jab sawaartab bint e Ali ghaiz meN aage baRhii eak baarchillaayii ke o baani e bedaad o jafaakaarsuntaa nahiiN tuu, kehtii hooN meiN jo jigar afgaaranjaam bhii tuu rukne kaa ab jaan le zaalimbeTii hooN Ali ki, mujhe pehchaan le zaalimye kehte huwe Daal diyaa haath Anaa parab chaahiye kyaa looT liyaa jab ke bharaa gharhooN laakh gharibul vatan wa bekas o muztarmajboor samajhna na mujhe phir bhii sitargarkyaa khauf mujhe, apne iraadoN pe jo tu haiin baazoo’oN meN faatemaah zahraa kaa lahoo haiaage jo baRhaa, hogii qayaamat abhii barpaafariyaad merii pohchegii taa arsh r moAllaaaur suu e najaf haath agar maine uthaayaaaa jaayeNge imdaad ko fauran mere baabaaSar tan pe na hogaa jo zaraa be adabi kiizainab hai meraa naam, nawaasi hooN nabii kiijab baat sunii betii ki, aswaar pukaaraazainab meiN teraa baap hooN, pehchaan khudaaraakin aaNkhoN se dekhuN ye jigar soz nazaaraatuu dukh sahey aur mujh ko ho aaraam gaNwaaraashab bhar meiN tere khaimey kaa darbaan rahuNgaataa subha isi dasht meN mehmaan rahuNgaadukhiyaarii ne jab ghaur se chehrey pe nazar kiinazdeek e raqaab aayii, qadam chuum ke boliibaabaa mere kyoN aan ke pehle na khabar liimaaloom hai kyaa aap kii aulaad pe guzriigham khaane ko ye bekas o naachaar hai baaqimardoN meN faqat aabid e biimaar hai baaqiijab sar mere bhaai ki kaTaa, aap kahaaN theyjab khaatemaa akbar kaa huaa, aap kahaaN theybeshiir ke jab teer lagaa, aap kahaaN theyjab sar se chHini merii ridaa, aap kahaaN theyDhaaras ke liye beTii ki ab aaye haiN baabasaaraa meraa ghar looT gayaa ab aaye haiN baabajab meiN huyii aawaaraa vatan, aap kahaaN theylooTaa gayaa zehraa kaa chaman aap kahaaN theyTukRhey huaa Abbaas kaa tan, aap kahaaN theybaaNdhii mere aAdaa ne rasan, aap kahaaN theyshabbiir ke jab halq pe shamshiir chalii thiisach kehtii hooN, meiN aap hii ko dhundh rahii thiipaamaal huaa sheh kaa badan aap na aaYepaamaal huaa ibn e hasan aap na aaYebewaa huyii eak shab ki dulhan aap na aaYekyoN leke bahattar kaa kafan aap na aaYeaa jaate tau iss tarah na taqdeer badaltiiyuN pyaase ke halqoom pe shamshiir na chaltiizainab se kahaa, haashmi haider ne ye rokarmeiN saaye kii maanind tere saath thaa dilbarhai pesh e nazar ab bhii qayaamat kaa wo manzarjis waqt ke chiini gayii sar se tere chaadarmeiN bakshish e ummat kaa sabab dekh rahaa thaakhaamosh khaRhaa marzii e rab dekh rahaa thaa

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.