Shaame ghareeba'n me zainab pukari..(2)kis kisko rou'n mai ghum ki maariShaame ghareeba'n me zainab pukari..(2)Bachho se kehti thi zehra ki pyaari..(2)Mai tum pe sadqe mai tumpe waariShaame ghareeba'n me zainab pukari..(2)1. Har simt laashe bikhre pade haikhaime haram ke sab jal chuke haibachhe hamare sehme huwe haigodi mein maao'n ki baithe huwe hai..(2)aisa yateemo pe hai khauf taari2. Maare gaye hai maqtal mein saarebhai bhatije bete dulaareabbas sote hai darya kanarekhushiya manate hai qatil hamare..(2)baba ab aao madad ko hamari3. Zulmo sitam se aakar bachaoabbas o qasim akbar kaha hoehle haram ko aakar sambhalotatbeer bekas ko koi batao..(2)bewaein karti hai sab aaho zaari4. Cheeni ridaein asbaab lootaabid ka mere bistar bhi cheenabaali sakina ne khaya tamachabadal masaeb ka sar par hai chaya..(2)ujda hai gulshan maa ka hamari5. Kaise yateemo ko ab mai sambhaluranjo mahan se kaise nikalukisko pukaru kis samt jaaubhai se waada kaise nibhau..(2)chalti hai dil par ek ghum ki aandhi6. Sawan ye nauha jo tune likha haiqissa nahi hai aisa huwa hairanjo alam ka daftar khula haiummul masaeb ke dil ki sadaa hai..(2)khaate nahi hai kuch rahm naariShaame ghareeba'n me zainab pukari..(2)
Shame ghareeba
Ali Safdar · 2016
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.