Maula ya hussain hussain maula..(2)Sadqe jawa'n tere maula hussain..(4)Maula ya hussain hussain maula..(2)Zehra ka laal hussainSohna lajpaal hussain1. Tujhko aghoshe risalat ne uthaya aiseNoor ki rehel pe quran rakha ho jaiseChadare fatima zehra pe chupakar tujhkobosa lete the ali aur yahi kehte theFitrus ko dede shifa dede par o baal hussainZehra ka laal hussainSohna lajpaal hussain2. Kya likhu wo tere bachpan ki adaaye wallahPushte nana pe nawase ka safar mashallahEid ke roz madine me ajab tha manzarDaikh kar Ehle madina ne kaha bismillahHai ye sawaari kamaal sawar bhi kamaal hussainZehra ka laal hussainSohna lajpaal hussainMaula ya hussain hussain maula..(2)3. Sar jhukaye jo tere dar pe pada rehta heTu use ishq ki parwaaz ataa karta heKarbala jabse mujhe tune dikhai maulaTera darwesh hawaoo me uda phirta heDarpe guzaru tere din wahi misaal hussainZehra ka laal hussainSohna lajpaal hussain4. Teri chaukhat me fakiri me he shaahi ka mazaTeri dehliz pe hi bigda mukaddar badlaUnche mehlo se to uncha he mera dil maulaJisme tu rehta he aur saath tere aale abaIs dil mein ghar he tera mai hu mala maal hussainZehra ka laal hussainSohna lajpaal hussainSadqe jawa'n tere maula hussain..(2)Maula ya hussain hussain maula..(2)5. Tere aane sehi wal asr ko tafseer miliYaani peshaaniye islaam ko tanweer miliHur ki taqdeer likhi tune ali ke baiteUs gunahgaar ko bhi khuld ki jageer miliAasiyo ka rakhta hai kaun yu khayaal hussainZehra ka laal hussainSohna lajpaal hussain6. Tune is dharti pe jiss roz rakha pehla qadamMilgaya khaak me duniya ke yazido ka bharamSajda e shukr risalat ne kiya ye kehkarAb mere qaul ki tasdeeq huwi rab ki qasamDeen ki hayaat hussain deen ki he dhaal hussainZehra ka laal hussainSohna lajpaal hussain7. Aur kuch mazharo farhan ko bhaata hi nahiMaula ab humko koi khwahish e duniya hi nahiTere mimber ki balandi pe khade he maulaIsse unchi koi manzil koi rutba hi nahiAb iss balandi ko karde lazawal hussainZehra ka laal hussainSohna lajpaal hussainSadqe jawa'n tere maula hussainSadqe jawa'n tere maula hussainMaula ya hussain hussain maulaMaula ya hussain hussain maulaMaula ya hussain hussain maulaMaula ya hussain hussain maula
Sohna lajpaal hussain
Farhan · 2020
Get the full experience
Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.