Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Sughra se mila do

Shabih Abbas Jafri · 2012

Sughra se mila do..(2)Beemar behan ka mujhe, chehra hi dikha dobaba, baba, sughra se mila doSughra se mila do..(4)1. Ye baat hai sadd gham ki ghata chhayi hai mujhparphal barchi ka toota hai mere seene ke andaraye baba na bach payega ab aapka akbarbeemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do2. Aata hai mujhe yaad madine ka wo manzarmai aaunga aaya tha ye beemar se keh karab kehna hai jaa karta hai ye tera baradarbeemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do3. Kya haal hai bhai ki judaai mein bahan kahai kaun khabar geer khudai mein bahan kamaloom hai dil rehta hai bhai mein bahan kabeemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do4. Majboor hai maghmoom hai beemaar hai babasughra bhare kunbe ki azadaar hai babawo meri mohabbat mein giraftaar hai bababeemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do5. Kya uspa guzarti hai bata dijiye mujhkosurat meri khwahar ki dikha dijiye mujhkomumkin ho to aawaaz suna dijiye mujhkobeemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do6. Tum aye labe dam jaan to ab khota hu babamai maut ki aaghosh mein ab sota hu babalekin mai pareshaan bohot hota hu bababeemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do7. Do ungliya sheh ne jo uthayi sare maidaa'nhamsheer nazar aayi madine me pareshaansarwar ne kaha ab nahi kehna ye meri jaanbeemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do8. Akbar ke sharal dilpa yaka yak huwa sadmarukne lagi saas aur mutaghayyar hua chehrakarte hue band aankh kaha ab na kahungabeemaar, beemaar, behan ka mujhe, chehra hi dikha do

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.