Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Suno Sana E Hussain

Imran Datoo · 2024

Ana naseeb hui hurriyat ki aabo hawaThe tujh pe jo bhi ghulami ke din wo beet gayeAb apne sar ko utha ai dabi hui makhlooqYazeed haar gaya aur husain jeet gyeSuno sana e hussain1. Farmaa rawaa e kishwar e yazdaa(n) hussain haiHaajat rawaa e aalam e imkaa(n) hussain haiMakhdoom e iqtidaar e sulaiman hussain haiAbbas se wazeer ka sultaa(n) hussain haiGhangor baadalo(n) ke gharaane baras pareNalayn jhaarde to khazaane baras pare2. Tashna labi mein nehre laban baant-ta hai yeDasht e khiza mein buwe chaman baant-ta hai yeTalkhiye lab ko husne sukhan baant-ta hai yeHad hai musaafirat mein watan baant-ta hai yeKhairaat be misaal ataa be nazeer haiKhud baadshaah baap janaab e ameer hai3. Soya huwa har ek naseeba jaga diyaTashna labi mein khayr ka darya bahadiyaPal mein gadagaro(n) ko tawangar banadiyaAb bhi ye puchte ho ke sarwar ne kya diyaIzzat bhikaariyo(n) ki barhadi hussain neAadat hi maangne ki churaadi hussain ne4. Dushwaariy e hayaat ko asaan kar diyaMohsin hai qayenaat ke ehsaan kar diyaGhurbat naseeb logo(n) ko dhanwaan kar diyaItna diya hussain ne sultan kar diyaShehr e sakhaa mein fasl e ataa kaatne lagaJo bheek maangta tha wo khud baant-ne laga5. Kausar ka jaam jaam haqeeqat shanaas haiDhaaro(n) mein iske shehd Se barrh kar mithaas haiHar dushman e sabeel yahaa(n) par udaas haiMunkir se barrh ke puchiye kyu(n) badhawaas haiMaujon me zayeqa hai jo is darja chain kaKausar ne pauon dho ke piya hai husain ka6. Mehshar ki dhoop aur wo khurshid e sholabaarHoga koi kisi ka jahaa(n) par na gham gusaarDozakh bhi hogi bhook se be chayn o be kararAise mein laaye jaayenge jis dam gunahgaarKhaaliq kahega inka tarafdaar kon haiZahra kahengi inme azadaar kon hai

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.