Azadari MediaAzadari MediaGet the app

Taareeq de rahi hai yeh aawaz

Miscellaneous · 2014

Taareeq de rahi hai yeh aawaz dum ba dumDasht-e-sabat-o-azm hai Dasht-e-bala-o-ghamSabr-e-maseeh wa jura’at suqrat ki qasamIs raah mein hai sirf ek insaan ka khadamJiski ragoun mein Aatish-e-Badr-o-Hunain haiUs soorma ka Ism-e-Girami Hussain hai2)    Jo saheb-e-mizaj-e-Nabuwwat tha woh HussainJo waris-e-zameer-e-Risaalath tha woh HussainJo khalwati-e-shahid-e-qudrat tha woh HussainJiska wajood fakhr-e-mshiyat tha woh HussainSaanchey mein dhaalney ke liye kaenaat koJo tolta tha nok-e-mazaa’ per hayat ko3)    Jo ek nishaan-e-tashna dahani tha woh HussainGeeti pe arsh ki jo nishani tha woh HussainJo khuld ka ameer-e-jawani tha woh HussainJo ek san-e-jadeed ka baani tha woh HussainJiska lahoo talatum-e-pinhaa’n liye hueyHar boond mein tha Nooh ka toofan liye huey4)    Jo kaarwan-e-azm ka rahbar tha woh HussainKhud apne khoon ka jo shanaawar tha woh HussainEk deen-e-taaza ka jo payambar tha woh HussainJo Karbala ka daawar-e-mahshar tha woh HussainJiski nazar pe shewa-e-haq ka madaar thaJo rooh-e-inqilab ka parwardigaar tha5)    Haa’n ab bhi jo manara-e-azmat hai woh HussainJiski nigaah marg-e-adawat hai woh HussainAb bhi jo mehwa-e-dars-e-mohabbat hai woh HussainAdam ki jo daleel-e-sharafat hai woh HussainWaahid jo ek namoona hai zibh-e-azeem kaAllah re inteqaab Khuda-e-Hakeem ka6)    Haa’n woh Hussain jiska abad aashna sabaatKahta hai gaah gaah hakeemou se bhi yeh baatYaaney duroon-e-parda-e-sad rang-e-kaeynaatEk kaarsaaz zehan hai, ek zee saroor zaatSijdoun se khainchta hai jo masjood ki tarafTanhaa jo ek ishaara hai ma’abood ki taraf7)    Taaqat si shaey ko khaak mein jisne mila diyaTaqta ulat ke khasrey hukumat ko dhaa diyaJisne hawa mein ruab-e-imarat urhaa diyaThokar se jisne afsar-e-shahi gira diyaIs tarha jis se zulm siyaah faam ho gayaLafz-e-yazeed daakhil-e-dushnaam ho gaya8)    Paani se teen roz huey jiske lab na tarTegh-o-tabar ko soump diya jisne ghar ka gharJo mar gaya zameer ki izzat ke naam perZillat ke aastaa’n pe jhukaya magar na sirLee jisne saans rishta-e-shahi ko todh karJisne kalaei maut ki rakh di madod kar9)    Har chund ahl-e-zor ne chaha yeh baarhaaHo jaye mehwe yaad-e-Shaheedan-e-KarbalaBaaqi rahe na naam zameen per Hussain kaLaikin kisi ka zor azizo na chal sakaAbbas-e-Naamwar ke lahoo se dhula huaAb bhi Hussainiat ka alam hai khula hua. (Written By: Josh Maleeh Abaadi)

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.