Azadari MediaAzadari Media

Taboot Uth Raha Hai

Sayed Mehdi Naqvi · Poet: Meer Raza Naqvi

Listen to this nauhaPlay the audio with lyrics
Haaye Zehra Taboot uth raha hai Yasrab me Fatima (s.a) kaMaatam kadha hua hai ghar Aal-e-Mustafa (s.a.w) kaYasrab me rehne waloñ tum ko sukoon aayaKhamosh ho gayi hai Subbat ka padh ke nohaGirya na ab suneñge Mazloom Sabira (s.a) kaRokar yeh keh rahe haiñ Salman (as) aur Abuzar (as)Shayad sukoon paaye marqad me bint-e-Sarwar (s.a.w)Mushkil kiya tha jeena Ummat ne Sayyeda (s.a) kaKaise salam karti haathoñ ko woh uthakeJeeti rahi woh dukhiya zakhm-e-jigar chhupakeLashhe pe Fatima (s.a) ke noha hai Murtaza (a.s) kaTaboot e Fatema (sa) se lipte Hassan (a.s) haiñ roteKoi Madine wala deta nahi dilaseUmmat ne saath chhoda kyuñ Aal-e-Mustafa (s.a.w) kaKulsoom (s.a) keh rahi thi laashe se yeh lipat karSaya tumhara Ammañ hoga na ab mayassarDil khoon ro raha hai furqat me ghamzada kaBand-e-kafan ko toda phaila ke haath boliAa ja Hussain (a.s) mere aaghosh me tu meriRone se tere larzañ hai Arsh-e-Kibriya kaTaboot jab utha to Zainab (s.a) yeh ro ke boliTakleef ho na maañ ko sab pasliyañ haiñ tootiAahista Baba chalna hai wasta Khuda kaBadli me chaand chhup ja, taaro! hooñ band aankheiñJibraeel (as) ki sada hai aalam jhukaaye nazreñUska Janaza hai ye, parda hai jo Khuda kaFizza (sa) yeh boli ro kar turbat rahe na tanhaTurbat na todh daaleiñ dar ki tarah yeh aadapehra maiñ dunge Maula (a.s)! Khadsha hai phir jafa ka! Mushkil Kusha-e-Haider (a.s) aye Meer chal basi haiMarqad se Mustafa (s.a.w) ke awaaz aa rahi haiSar peeto sogwaro maatam hai Fatima (s.a) ka

Get the full experience

Create playlists, save favourites, follow reciters and listen offline — all in the Azadari Media app.